Blogger Widgets

Tuesday, January 29, 2013

Har Janam mein usi ki chaahat they


Har Janam mein usi ki chaahat they
Ham kisi aur ki amanat they
Teri chadar mein tan samet liya
Ham kahan key daraaz qaamat they
Jaise jangal mein aag lag jaaye
Ham kabhi itne khubsoorat they
Paas rahkar bhi door door rahe
Ham naye daur ki mohabbat they
Is khushi mein mujhe khyal aaya
Gham key din kitne khubsoorat they

Mere bistar pe so raha hai koi


Mere bistar pe so raha hai koi
Meri aankhen mein jaagta hai koi
In pahaado mein rahtey hein hamzad
Bol kar dekho bolta hai koi
Mera shaitan mar gaya shayad
Mere seene pe so raha hai koi
Rang yeh bhi bahut purana hai
Sochta koi bolta hai koi
Saat pardon mein chhup key dekh liya
Kapde badlo to dekhta hai koi

Lahron mein doobte rahe dariya nahin mila


Lahron mein doobte rahe dariya nahin mila
Usse bichhad key phir koi waisa nahim mila
Kuchh log thodi der to achchhe lage magar
Ham jiske ho saken koi aisa nahin mila
Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah
Usko bhi koi chaahne wala nahin mila
Do chaar din to kitne sukun se guzar gaye
Sab khairiyat rahi koi apna nahin mila

Ret bhari hai in aankhon mein aansu se turn dho lena
Koi sookha ped mile to ussey lipat ke ro lena
Uskey baad bahut tanha ho jaise jangal ka raasta
10 bhi tumsey pyar se bole saath usi ke ho lena
Kuchh to ret ki pyaas bujhao janam janam ki pyasi hai
Sahil par chaIne se pahley apne paon bhigo lena
Maine darya se seekhi hai paani ki parda dari
Oopar opar hanste rahna gehrai me in ro lena
Rotey kyon ho dilwalon ki qismat aisi hoti hai
Saari raat yun hi jagoge din nikley to so lena

Ham bikhartey hain teeragi ki tarah


Ham bikhartey hain teeragi ki tarah
Dard badhta hai roshni ki tarah
Jab kabhi baadlon mein ghirta hai
Chaand lagta hai aadmi ki tarah
Sab nazar ka fareb hai warna
Koi hota nahin kisi ki tarah
Khubsoorat, udaas, Khaufzada
Wo bhi hai beeswin sadi ki tarah

Dikhla key yahi manzar baadal chalaa jaata hai


Dikhla key yahi manzar baadal chalaa jaata hai
Paani se makaanon par kaise likha jaata hai
Us mod pe ham donon kuchh der bahut roye
lis mod se duniya ko ek raasta jaata hai
Donon se chalo punchhen usko kahin dekha hai
Ek qafila ataa hai ek qafila jataa hai
Duniya mein kahin inki taaleem nahin hoti
Do char kitaabon ko ghar mein padha jaata hai

Wo apne ghar chalaa gayaa afsos mat karo

Wo apne ghar chalaa gayaa afsos mat karo
Itnaa hi us ka saath thaa afsos mat karo
Insaan apne aap mein majboor hai bahut
Koi nahin hai bewafa afsos mat karo
Is baar tum ko aane mein kuchh der ho gayi
Thak haar key wo so gaya afsos mat karo
Is zindagi key mujh pe kai qarz hein magar
Main jald laut aaunga afsos mat karo
Ye dekho phir se aagayin phoolon pe titliyan
Ek roz wo bhi aayega afsos mat karo

Ab dilon key alaawa padhna kya


Ab dilon key alaawa padhna kya
Apna kaghaz qalarn se rishta kya
Aansuon se rniri hatheli par
Kaun padhta ke usne likkha kya
Ek rnahak jaise raat ki raani
Kya bataaoun ke usne socha kya
Jab bhi dekho usi taraf nazren
Chaand bhi hai kisi ka chehra kya
Turn rneri zindagi ho yeh sach hai
Zindagi ka rnagar bharosa kya

Aansuon key saath sab kuchh bah gaya


Aansuon key saath sab kuchh bah gaya
Dil mein sannata sa baqi rah gaya
Chhod aaya hun zameen-o-aasman
Fasila ab aur kitna rah gaya
Rafta rafta bujh gaye saare chiragh
Eik chehra jhilmilaata rah gaya
Bastiyan dhundla gayin phir kho gayin
Roshni ka shehr peechey rah gaya
Bewafa raaste badalte hein
Ham safar saath saath chalte hein
Kiske aansoo chhupe hein phoolon mein
Choomta hun to hont jalte hein
Uski aankhon ko ghaur se dekho
Mandiron mein chiragh jalte hein
Eik deewar wo bhi shishey ki
Do badan paas paas j altey hein
Kaanch key, motiyon key, aansu key
Sab khilone ghazal mein dhalte hein

Monday, January 28, 2013

Unko aaina banaya dhoop ka chehra mujhe


Unko aaina banaya dhoop ka chehra mujhe
Raasta phoolon ka sab ko aag ka darya mujhe
Chand chehra, zulf darya, baat khushboo dil chaman
Ik tumhen de kar khuda ne de diya kya kya mujhe
Jis tarah wapas koi Ie jaye apni chitthiyan
Jaane waala is tarah se kar gay a tanha mujhe
tumne dekha hai kisi meera ko mandir mein kabhi
Eik din usne khuda se is tarah manga mujhe
Meri mutthi mein sulagti ret rakh kar chal diya
Kitni awaazen diya karta tha ye darya mujhe

Is tarah saath nibhna hai dushwaar sa


Is tarah saath nibhna hai dushwaar sa
Tu bhi talwaar sa main bhi talwaar sa
Apna range ghazal uske rukhsaar sa
Dil chamakne laga hai rukhe yaar sa
Ab hai toota sa dil khud se bezar sa
Is haweli mein lagta tha darbaar sa
khubsoorat si pairon mein zanjeer ho
Ghar mein baitha rahun main giraftar sa
Main farishton ki sohbat key layaq nahin
Hamsafar koi hota gunahgaar sa
Gudiya gudde ko becha khareeda gaya
Ghar sajaaya gaya raat bazaar sa
Shaam tak kitne haathon se guzrunga main
Chaye khane mein Urdu key akhbaar sa
Baat kya hai ke mashhoor logon key ghar
Maut ka sog hota hai tyohaar sa
Zeena zeena utarta hua aaina
Uska lehja anokha khanakdaar sa

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo


Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo
Yaad aayi bahut pahli mulaqaat ki khushboo
Chhup chhup key nayi subah ka munh choom rahi hai
In reshmi zulfon mein basi raat ki khushboo
Mausam bhi haseenon ki adaa seekh gaye hein
Baadal hein chhupaye huye barsaat ki khushboo
Ghar kitne hi chhote hon ghane ped milenge
Shahron se alag hoti hai qasbaat ki khushboo
Honton par abhi phool ki patti ki mahak hai
Sanson mein rachi hai tiri soghaat ki khushboo

So khuloos baaton mein sab karam khayalon mein


So khuloos baaton mein sab karam khayalon mein
Bas zara wafa kam hai tere shahr walon mein
Pahli baar nazron ne chand bolte dekha
Ham jawaab kya dete kho gaye sawaalon mein
Raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda
Jaise koi chutki Ie nann nann gaalon mein
Yunkisi ki aankhon mein subh tak abhi they ham
Jis tarah rahe shabnam phool key peyalon mein
Meri aankh key taare ab na dekh paoge
Raat key musafir they kho gaye ujaalon mein

Maikada raat gham ka ghar nikla


Maikada raat gham ka ghar nikla
Dil haweli tale khandar nikla
Main use dhundta tha aankhon mein
Phool ban kar wo shaakh par nikla
Kis key saaye mein sar chhupaoge
Wo shajar dhoop ka shajar nikla
Us ka aanchal bhi koi baadal tha
Wo hawaaon ka hamsafar nikla
Koi kaghaz na tha lifafe mein
Sirf titli ka eik par nikla
Jab se jaana ke wo bahaadur hain
Dil se kuchh dushmanon ka dar nikla
Zindagi ik faqeer ki chadar
Jab dhake paon hamne sar nikla

Sabz patte dhoop ki yeh aag jab pI Jayenge


Sabz patte dhoop ki yeh aag jab pI Jayenge
Uj ley far key kot pahne halke jade aayenge
Geele geele mandiron mein baal khole deviyan
Sochti hain iske suraj devta kab aayenge
Surkh neeley chand taare doudte hain barf par
Kal hamari tarh ye bhi dhund mein kho jayenge
Din mein daftar ki qalam mil ki mashinen sab hain ham
Raat aayegi to palkon pe sitaare aayenge
Shaam tak mela hai paagal ped panchhi kis key meet
Apni apni boliyan sab bol kar ud jayenge
Din key in baghi farishton ko sadak par j ane do
Bach gaye to shaam tak ghar laut kar aajayenge
Tanha tey karna hai sab ko raat ka sara safar
Jhadiyon mein jugnuon ke qafle kho jayenge

Jamunon key baagh par chhai ghata


Jamunon key baagh par chhai ghata
Oodi oodi ladkiyan hansne lagin
Shaakh thi kamzor shayad isliye
Pattiyon par pattiyan marne lagin
Raat ki tanhaiyon ko soch kar
Chaai ki do pyaliyan hansne lagin
Dodte hain phool baston ko dab aye
Paon paon titliyan chaIne lagin
 Chal musaafir battiyan jalne lagin
Aasmani ghantiyan bajne lagin
Khil raha hai shaam ka kaala gulab
Zard sookhi pattiyan jhadne lagin
Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya
Shaam aayi battiyan jalne lagin
Din key saare kapde dheele ho gaye
Raat ki sab choliyan kasne lagin
Raat ek talaab key aaine mein
Jhilmilaati kashtiyan chaIne lagin
Doob jayenge sabhi darya pahaad
Chaandni ki naddiyan chadhne lagin
Band karlo dar dareeche khidkiyan
Phir hawa mein seetiyan bajne lagin
Jaamunon key baagh par chhai ghata
Oodi oodi ladkiyan hansne lagin

Apni jagah jame hain kahne ko kah rahe they


Apni jagah jame hain kahne ko kah rahe they
Sab log warna bahte darya mein bah rahe they
Aisa laga ki ham turn kohre mein chal rahe hon
Do phool oonchi neechi lahron par bah rahe they
Dil ujle paak phoolon se bhar diya tha kisne
Us din hamaari aankhon se ashk bah rahe they
Aksar sharaab peekar padti thi wo duaen
Ham eik aisi ladki key saath rah rahe they
Akhbaar mein to koi aisi khabar nahin thi
Jhulse makaan jhute afsaane kah rahe they

Hawaa mein dhoond rahi thi koi sada mujhko


Hawaa mein dhoond rahi thi koi sada mujhko
Pukaarta hai pahadon ka silsila mujhko
Main aasman-o-zamin ki haden mila deta
Koi sitara agar jhuk key chumta mujhko
Chipak gaye mere talwon se phool sheeshe ke
Zamaana kheench raha tha barahna pa mujhko
Woh shahsawaar badarahm dil tha mere liye
Badha key neza zamin se utha liya mujhko
Makaan khet sabhi aag ki lapet mein they
Sunahri ghaas mein usne chhupa diya mujhko
Dabeez hone lagi sabz kai ki chaadar
Na choom payegi ab sarphiri hawa mujhko
Pilaa key raat ka ras rakchhas banaati thi
Sawere logon se kahti thi dewta mujhko
Tu eik haath mein Ie aag eik me in pani
Tamaam raat hawa mein jala bujha mujhko
Bas eik raat mein sar sabz ye zameen huyi
Mire khuda ne kahan tak bichha diya mujhko

Zamin se aanch zamin tod kar nikalti hai


Zamin se aanch zamin tod kar nikalti hai
Ajeeb tishnagi in baadlon se barsi hai
Miri nigaah mukhatib se baat karte huye
Tamaam jism key kapde utaar leti hai
Hamaare ahd mein nayaab hain bachaye raho
Tumhari aankh mein eik cheezjo chamakti hai
Saron pe dhoop ki gathri uthaye phirte hein
Dilon mein jinke badi sard raat hoti hai
Khade khade main safar kar raha hun barson se
Zameen paon key neeche kahaan thaharti hai
Hawa hamaare hi seene mein aaye jaaye hai
Buland chaand sitare zameen gahri hai
Bikhar rahi hai miri raat uske shaanon par
Kisi ki subh mere bazuon mein soti hai
Pighal rahi hain chattanen naheefbahon mein
Badan mein pyar key kaisi ajeeb garmi hai
Hawa key aankh nahin haath aur paon nahin
Isiliye wo abhi raaston pe chalti hai

Sab aane waale bahla kar chale gaye


Sab aane waale bahla kar chale gaye
Aankhon par sheesheychamkakar chalegaye
Malbe key neeche aakar maaloom hua
Sab kaise deewar girakar chale gaye
Log kabhi lautenge raakh batorenge
Jangal mein jo aag lagaakar chale gaye
Mein tha din tha aur eklamba raasta thaa
Sab kheme jab log utha kar chale gaye
Chattanon par aakar thahre do raaste
Phir aage ek raah banaakar chale gaye
Barf mein rakkhi thandi botal chipak gayi
Khauf dilon mein log dabaakar chale gaye
Jab do naali ne rukh phera sab ghaazi
Apne apne haath utha kar chale gaye
Jaane kab dongon mein mahkenge taare
Kitne sooraj haath dhulakar chale gaye
Gaare choone patthar key dushman dekho
Aahan ki deewar banaakar chale gaye

Patthar jaise machhli key koolhe chamke


Patthar jaise machhli key koolhe chamke
Ganga jal mein aag lagaakar chale gaye
Saat sitaare udte ghodon par aaye
Palkon se kuchh phool churakar chale gaye
Deewaren deewaron ki j ani b sarkin
Chhat se bistar log utha kar chale gaye
Kuchh aise bachche bhi aaye maktab mein
Naam likkhaya naam likkha kar chale gaye
Titli bhaage titli key peeche peeche
Phool aaye aur phool churaakar chale gaye
Sardi aayi log pahaadon ko bhoole
Patthar par sheeshe bikhra kar chale gaye
Raat hawa key aise jhonke dar aaye
Bhari hui chhaagal chhalka kar chale gaye

Yaad ab khud ko aa rahe hain ham


Yaad ab khud ko aa rahe hain ham
Kuch dinon tak khuda rahe hain ham
Aarzuon key surkh phoolon se
Dil ki basti sajaa rahe hain ham
Aaj to apni khaamoshi mein bhi
Teri aawaz paa rahe hain ham
Baat kya hai phir zamaane
Yaad rah rah key aa rahe hain ham
Zindagi ab to saadgi se mil
Baad sadiyon key aa rahe hain ham
Ab hamein dekh bhi na paoge
Itne nazdeek aa rahe hain ham
Ghazlen ab tak sharaab piti thin
Neem ka ras pila rahe hain ham

Subah hoti hai chhupa lo hamko


Subah hoti hai chhupa lo hamko
Raat bhar chaahne walo hamko
Ham haqeeqat hain nazar aate hain
Daastanon mein chhupal lo hamko
Dil na paa jaye kahin shab ka raaz
Subh se pahle utha lo hamko
Ham zamane key sataaye hain bahut
Apne seene se lagaa lo hamko
Waqt key hont hamein chhu lenge
Ankahe bol hain gaa lo hamko
Kal khareedaron key pahre honge
Aaj ki raat chura lo hamko

Aaya hi nahin hamko aahista guzar jaana


Aaya hi nahin hamko aahista guzar jaana
Sheeshe ka muqaddar hai takraa key bikhar jaana
Taaron ki tarah shab key seene mein utar jaana
Aahat na ho qadmon ki is tarh guzar j aana
Nashe mein sanbhalne ka fan yun hi nahin aata
In zulfon se seekha hai lahra key sanwar jaana
Bhar jaayenge aankhon mein aanchal se bandhe baadal
Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jaana
Har mod pe se do aankhen hamse yahi kahti hain
Jis tarh bhi mumkin ho turn laut key ghar jaana
Patthar ko mira saaya aaina sa chamka de
J aana to mira sheesha yun dard se bhar j aana
Ye chaand sitaare turn auron key liye rakh lo
Ham ko yahin j eena hai ham ko yahin mar jaana
Jab toot gaya rishta sar-sabz pahaadon se
Phir tez hawaa jane kis ko hai kidhar jaana

Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi


Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi
Wo apne aap ko bikhraye aur piroye bhi
Bahut gubaar bharaa tha dilon mein donon key
Magar wo eik hi bistar pe raat soye bhi
Bahut dinon se nahaaye nahin hain aangan mein
Kabhi to raah ki barish hamein bhigoye bhi
Ye tumse kisne kaha raat se main darta hun
Zaroor aye mere bazuon mein soye bhi
Wo nojawan to jawaani ki neend mein gum tha
Bahut pukaara jhinjhoda lipat ke roye bhi
Yaqeen janiye ahsaas tak na hoga hamein
Nason mein suiyan koi agar chubhoye bhi

Shabnam hun surkh phool pe


Shabnam hun surkh phool pe bikhra hua hun mein
Dil mom aur dhoop mein baitha hua hun main
Kuchh der baad raakh milegi tumhen yahaan
Lo banke is chiragh se lipta hua hun main
Do sakht khushk rotiyan kab se liye hue
Paani key intezar baitha hua hun main
Ladi utha key ghaat pe j ane lage hi ran
Kaise ajeeb daur mein paida hua hun main
Nas nas mein phail jaunga beemar raat ki
Palkon pe aaj shaam se simta hua hun mein
Auraaq mein chhipati thi aksar wo titliyan
Shayad kisi kitab mein rakkha hua hun main
Duniya hai bepanaah to bharpoor zindagi
Do aurton key beech mein leta hua hun main

Koi jaata hai yahaan se na koi aata hai


Koi jaata hai yahaan se na koi aata hai
Ye diya apne andhere mein ghuta jaata hai
Sab samajhte hain wohi raat ki qismat hoga
Jo sitaara ki bulandi pe nazar aata hai
Bildingen log nahin hainjo kahin bhaag saken
Roz insaanon ka sailaab badhaa jaata hai
Main isi khoj mein badhta hi chala j aata hun
Kiska aanchal haijo kohsaron par lahrata hai
Meri aankhon mein hai ek abr ka tukda shaayad
Koi mausam ho sareshaam baras jaata hai
De tasalli jo koi aankh chhalak uthti hai
Koi samjhaye to dil aur bhi bhar aata hai
Abr key khet mein bijli ki chamakti hui raah
Jaane walon key liyeRaasta ban jata hai

Gulon ki tarh ham ne zindagi ko is qadar jaana


Gulon ki tarh ham ne zindagi ko is qadar jaana
Kisi ki zulf mein ik raat sona aur bikhar jaana
Agar aise gaye to zindagi par harf aayega
Hawaon se Iipatna titliyon ko choom kar jaana
Dhunak key rakh diya tha baadion ko jin parindon ne
Unhen kisne sikhaaya apne saaye se bhi dar jaana
Kahaan tak ye diya beemar kamre ki fiza badle
Kabhi turn eik mutthi dhoop in taaqon mein bhar jaana
Isi mein aafiyat hai ghar mein apne chain se baithho
Kisi ki simt jaana ho to raste mein utar jaana

Chaand ka tukda na sooraj ka numainda hun


Chaand ka tukda na sooraj ka numainda hun
Main na is baat pe naazan hun na sharmindahun
Dafn ho jaayega jo saikdon man mitti mein
Ghaliban main bhi usi shahr ka bashinda hun
Zandagi tu mujhe pahchaan na payi lekin
Log kahte hain ke main tera numainda hun
Phool si qabr sey aksar ye sada aati hai
Koi kahta hai bachaa 10main abhi zinda hun
Tan pe kapde hain qadaamat ki alaamat aur main
Sar barahna yahaan aajane pe sharminda hun
Waaqai is tarah maine kabhi socha hi nahin
Kaun hai apna yahaan kis ke liye zinda hun

Kise Khabar thi tujhe is tarah sajaaunga


Kise Khabar thi tujhe is tarah sajaaunga
Zamaana dekhega aur mein na dekh paaunga
Hayaat-o-maut firaaq-o-wisaal sab yakjan
Main eik raat mein kitne diye jalaaunga
Pala badaa hun abhi tak inhi andheron mein
Main tez dhoop se kaise nazar milaaunga
Mire mizaj ki ye maadrana fitrat hai
Sawere saari azziyat main bhool jaaunga
Turn eik ped se wabasta ho magar main to
Hawa key saath bahut door door jaaunga
Mira ye ahd hai Main aaj shaam hone tak
Jahaan se rizq likkha hai wahin se laaunga

Koi na jaan saka woh kahaan se ayaa tha


Koi na jaan saka woh kahaan se ayaa tha
Aur usne dhoop se baadal ko kyon milaaya tha
Yeh baat logon ko shaayad pasand aayi nahi
Makaan chhota tha lekin bahut saj aaya tha
Woh ab wahan hain jahan raaste nahi jaate
Main jiske saath yahaan pichhle saal aaya tha
Suna hai uspe chahakne lage parinde bhi
Wo eik pauda jo hamne kabhi lagaaya tha
Chiragh doob gaye Kapkapaaye honton par
Kisi ka haath hamaare labon tak aaya tha
Badan ko chhod key jaana hai aasman ki taraf
Samandaron ne hamein ye sabaq padaaya tha
Tamaam umr mera dam isi dhuen mein ghuta
Wo ek chiraagh tha maine use bujhaaya tha

Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila


Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila
Gharon pe naam they, naamon key saath ohde they
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila
Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila
Khuda ki itni badi kaaynat mein maine
Bas eik shakhs ko manga mujhe wohi na mila
Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila

Tum taras nahin khaate bastiya


Tum taras nahin khaate bastiyan jalaane mein
Aur jaam tootenge is sharaab khaane mein
Mau samonkey aane mein mausamon key jaane mein
Har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
Umr beet jaati hai dil ko dil banaane mein
Fakhta ki majboori ye bhi kah nahin sakti
Kaun saanp rakhta hai uske aashiyane mein
Doosri koi ladki zindagi mein aayegi
Kitni der lagti hai usko bhool jaane mein

Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega


Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega
Itna mat chaaho use wo bewafa ho jayega
Ham bhi darya hain hamein apna hunar malo om hai
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jayega
Kitni sacchai se mujh se zindagi ne kah diya
Tu nahin mera to koi doosra ho jayega
Main khuda ka naam lekar pee raha hun dosto
Zahr bhi is me in agar hoga dawa ho jayega
Sab usi key hain hawa, khushboo, zameen-o-aasman
Main jahaan bhi jaunga usko pata ho jayega

Aansuon se dhuli khushki ki tarah


Aansuon se dhuli khushki ki tarah
Rishte hote hain shayri ki tarah
Ham khuda ban key aayenge warna
Ham se mil jao aadmi ki tarah
Barf seene ki jaise jaise gali
Aankh khulti gayi kali ki tarah
Jab kabhi badlon me in ghirta hai
Chand lagta hai aadmi ki tarah
Kisi rozan kisi dareeche se
Saamne aao roshni ki tarah
Sab nazar ka fareb hai warna
Koi hota nahin kisi ki tarah
Khubsoorat udaas Khaufzada
Woh bhi hai beeswin sadi ki tarah
Janta hun ki eik din mujhko
wo badal dega dayri ki tarah

Ghazlon ka hunar apni aankhon


Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aansu nahin ayenge
Kah dena samandar se ham os key moti hain
Darya ki tarah tujh se milne nahin ayenge
Wo dhoop key chhappar hon ya chhaon ki deewaren
Ab jobhi uthayenge mil jul key uthayenge
Jab saath na de koi aawaz hamein dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi uthayenge

Agar talaash karun koi mil hi jayega


Agar talaash karun koi mil hi jayega
Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega
Tumhen zaroor koi chahaton se dekhega
Magar wo aankhen hamaari kahan se layega
Na jane kab tire dil par nayi si dastak ho
Makaan khali hua hai to koi ayega
Main apni raah mein deewar ban key baitha hun
Agar wo aaya to kis raaste se ayega
Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega

Khushboo ki tarah aaya wo tez


Khushboo ki tarah aaya wo tez hawaaon mein
Manga tha jise hamne din raat duaon mein
Turn chhat pe nahin aaye main ghar se nahi nikla
Ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataaon mein
Is shahr mein ik ladki bilkul hai ghazal jaisi
Bijli si ghataon mein khushboo si hawaon mein
Mausam ka ishaara hai khush rahne do bachchon ko
Masoom mohabbat hai phoolon ki khataon mein
Bhagwaan hi bhejenge chawal se bhari thali
Mazloom parindon ki masoom sabhaon mein
Dada bade bhole they sab se yahi kahte they
Kuchh zahr bhi hota hai angrezi dawaaon mein

Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai

Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai
Kahin karobar si dophar kahin badmizaj si shaam hai
Kahan ab duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai
Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahin be gharaz use aapse koi kaam hai
Wo dilom mein aag lagaayega mein dilon ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khyal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai
Koi naghmadhoop key gaon sa koi naghma shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai

Sunday, January 27, 2013

પથારી છે


તમામ ઝંખના કાગળ ઉપર ઉતારી છે,
ગઝલને વાંચો ન વાંચો સમજ તમારી છે.
કહી દો આંસુને મોટી છલાંગના મારે,
બિચારી આંખની નાની સૂની જ ક્યારી છે.
જ બાન પર હતા સહુના વિરોધનાં વાદળ,
પરંતુ લખતા રહ્યા એજ તો ખુમારી છે.
તું તારા ઘરથી બે કડગલાં ચાલ જે આગળ,
પછી જે આવશે બસએ ગલી અમારી છે.
કદાચ મારી ગઝલમાં બહુ કચાશ હશે,
ઘણાની નબળી ગઝલને અમે મઠારી છે.
મુશાયરો હવે તો ચંદ્ર પર ભલે કરીએ,
તમામની અમે દરખાસ્તને વિચારી છે.
ભલે અમી રહશે કે ગરીબ માણસ પણ,
બધાના ઘરમાં જરૂર જોગી તો પથારી છે.
 નીલેશ પટેલ

જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે


જીવનને આંગણે તારી જુદાઇમાં લીલા
દિવસ કે રાત હોય બન્ને ઉદાસ આવે છે
ને વરસો વિત્યાં છતાં પણ કિનારે તાપીના
હજીય શ્વાસની તારા સુવાસ આવે છે.
જુવાની મહોબ્બતના દમ લઇ રહી છે
મને દિલની ધડકન ખબર દઇ રહી છે
પ્રણય રૂપના રંગ જોવાને માટે
બધાની નજરએ તરફ થઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
કમલ જેવાં કરમાંએ પુસ્તક ઉઠાવી
પ્રણય ઉર્મીઓ મનની મનમાં સમાવી
મનોભાવ મુખ પર ન દેખાય તેથી
અદાથી જરા ડોક નીચી નમાવી
મને અવનવી પ્રેરણા દઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
છે લાલીમાં જે લચકતી લલીતા
ગતી એવી જાણે સરકતી સરીતા
કલાથી વિભુષીત કલાકાર માટે
કવિતા જ સુંદર બનીને કવિતા
પ્રભુની પ્રભાની ઝલક દઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
ન સુરમો, ન કાજલ, ન પાવડર ન લાલી
છતાંય એની રંગત છે સૌ માં નિરાલી
બધી ફેશનેબલ સખીઓની વચ્ચે
છે સાદાઇમાં એની જાહોજલાલી
શું ખાદીની સાડી મજા દઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
સરળથીય સરળ છે એની સરળતા
નથી શબ્દ સમજાવવા કોઇ મળતા
લખું તોય લખતાં ન કાંઇ લખાયે
શમી જાય છે ભાવ હૈયે ઉછળતાં
અજબ મારા મનની દશા થઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
ભલા કોણ જાણે કે કોને રિઝવવા
અને કોના દિલની કળીને ખિલવવા
એ દરરોજ બે-ચાર સખીઓની સાથે
એ જાયે છે ભણવા કે ઉઠાં ભણવવા
ન સમજાય તેવી કલા થઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે
કોઇ કહે છે જાય છે ચિત્રો ચિતરવા
કહે છે કોઇ જ્ઞાન ભંડાર ભરવા
કોઇ કેમ સમજે આ બાબતને આસીમ
અધુરાં પ્રણયપાઠને પુર્ણ કરવા
એ દરરોજ ભણતરનાં સમ લઇ રહી છે
જુઓ લીલા કોલેજમાં જઇ રહી છે.
-આસિમ રાંદેરી

માનવ ન થઇ શક્યો તો એ ઇશ્વર બની ગયો.


માનવ ન થઇ શક્યો તો એ ઇશ્વર બની ગયો.
જે કંઇ બની ગયો, એ બરાબર બની ગયો.
વર્ષો પછી મળ્યાં તો નયન ભીનાં થઇ ગયાં.
સુખનો પ્રસંગ શોકનો અવસર બની ગયો.
જ્યારે કવિતા લખવાનું ઇશ્વરને મન થયું
ત્યારે હું એના કાવ્યના અક્ષર બની ગયો.
રસ્તામાં એટલી બધી ખાધી છે ઠોકરો
મંઝિલ સુધી પહોંચતા પગભર બની ગયો
એ મુજને રડતો જોઇને ખુદપણ રડી પડ્યાં.
મારો જ પ્રશ્ન એમનો ઉત્તર બની ગયો.
ઉંચકી રહ્યો ગઝલની ઇમારત નાભારને
એને નમન જે પાયાનો પથ્થર બની ગયો
છે આજ મારા હાથમાં મહેંદી ભરેલ હાથ,
મારોય હાથ આજ તો સુંદર બની ગયો.
આદિલના શેર સાંભળી આશ્ચર્યથી કહ્યું:
ગઇકાલનો આ છોકરો શાયર બની ગયો.
- આદિલમન્સૂરી

જીવન બની જશે


જ્યારે કલા, કલા નહીં, જીવન બની જશે,
મારું કવન જગતનું નિવેદન બની જશે .
શબ્દોથી પરજો દિલનું નિવેદન બની જશે,
તું પોતે તારા દર્દનું વર્ણન બની જશે .
જે કંઈ હું મેળવીશ હમેશા નહીં રહે ,
જે કંઈ તું આપશે તે સનાતન બની જશે.
મીઠા તમારા પ્રેમના પત્રો સમય જતાં,
ન્હોતી ખબરકે દર્દનું વાચન બની જશે.
તારો સમય કે નામ છે જેનું ફકત સમય,
એને જો હું વિતાવું તો જીવન બની જશે .
તારું છે એવું કોણ કે માગે સ્વતંત્રતા !
મારું છે એવુ કોણ જે બંધન બની જશે ?
આંખો મીંચીને ચાલશું અંધકારમાં મરીઝ
શંકા વધી જશે તો સમર્થન બની જશે .
- ‘મરીઝ
thank you