Blogger Widgets

Monday, January 28, 2013

Zamin se aanch zamin tod kar nikalti hai


Zamin se aanch zamin tod kar nikalti hai
Ajeeb tishnagi in baadlon se barsi hai
Miri nigaah mukhatib se baat karte huye
Tamaam jism key kapde utaar leti hai
Hamaare ahd mein nayaab hain bachaye raho
Tumhari aankh mein eik cheezjo chamakti hai
Saron pe dhoop ki gathri uthaye phirte hein
Dilon mein jinke badi sard raat hoti hai
Khade khade main safar kar raha hun barson se
Zameen paon key neeche kahaan thaharti hai
Hawa hamaare hi seene mein aaye jaaye hai
Buland chaand sitare zameen gahri hai
Bikhar rahi hai miri raat uske shaanon par
Kisi ki subh mere bazuon mein soti hai
Pighal rahi hain chattanen naheefbahon mein
Badan mein pyar key kaisi ajeeb garmi hai
Hawa key aankh nahin haath aur paon nahin
Isiliye wo abhi raaston pe chalti hai

No comments:

Post a Comment

thank you