Blogger Widgets

Thursday, November 29, 2012

MEER


ashk ankhon main kab nahin ata
lahu ata hai jab nahin ata
hosh jata nahin raha lekin
jab wo ata hai tab nahin ata
dil se rukhsat hui koi khwahish
girya kuch be-sabab nahin ata
ishq ka hausala hai shart warna
bat ka kis ko dhab nahin ata
ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata
                                                                                      
arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain
barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain
gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain
ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain
chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain
phir bhi karte hain “Mir” sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna
ashiq ka apane akhri didar dekhna
kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna
ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna
ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
laga hai
 mere paon mein a kar dekhna
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhna
sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib
 ye gulzar dekhna
gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar
is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka
 kahin har dekhna
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna
us khush-nigah ke ishq se parhez kijio ‘Mir’
jata hai leke ji hi
 ye azar dekhna

andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil jale ko nind na ai tamam shab
chamak chali gai thi sitaron ki subah tak
k asman se didabarai tamam shab
jab main ne shuru qissa kiya ankhen khol din
yaqini thi mujh ko chashm numai tamam shab
waqt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki
thi dushmanon se in ki larai tamam shab
tare se teri palkon pe qatre the ashk k
de rahe hain “Mir” dikhai tamam shab

ab jo ik hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki
 ye nishani hai
khak thi maujzan jahan mein, aur
ham ko dhoka
 ye tha k pani hai
giriya har waqt ka nahin behech
dil
 mein koi gam-e-nihani hai
ham qafas zad qaidi hain warna
ta chaman parfashani hai
yan huye ‘Mir’ ham barabar-e-khak
wan wahi naz-o-sargirani hai
                                                                                        
a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan
yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan
ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan
hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan
is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan
mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan
shayad ke kam subh tak apana khinchena ‘Mir’
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

Wednesday, November 28, 2012

sad sayaries


patjhad me ek phool khila diya tune,
ek patthar ke but ko amrit pila diya tune,
jindagi bhar tera ehsan maanate rahenge,
ek jinda laash ko jina sikha diya tune.

Galti se bhi aankhen mat kholiye
Yeh khwaab hai kahi toot na jaaye
Hum milte to hai isi kaaran
Darte hai yeh khoobsurat sapna
Kahi bikhar na jaaye…
Na hua mujhe kabhi dukh, na hua mai kabhi bebaaq tha..
Chuha jis chehre ko maine kabhi, vo humesha se mere liye raakh tha…
Baha mai kabhi nadi bankar, baha mai kabhi fiza bankar..
Koi na tha sath chalne ko, koi tha to sirf shant zamaane ka sath tha…
Yaad ban ke hansi teri .
Hontho pe bhi aai…..
Magar vo bekhabar …
Saath main ansoo bhi le aai …


Waqt bhi ajeeb manzar dikhata hai,
Kabhi hasata kabi rulata hai,
Kal jin palo k saath hasey thy
Aaj unn palo ko yaad karke ye waqt rulata hai
Dooriyon ke saath safar jari hai..
Waqt ki kalam se zindagi ka farman abhi jari hai
Tumhe yaad karna aur unme kho jana ye silsila jari hai
Tum saath ho achanak bhram tootne ka dard bas yahin beemari hai
Laut kar aa jao kaise bhi bas yahin koshish jari hai
Ankhon ki chamak dikha du, Aansu dikhau kaise
Teri muskan ne diye hai, Mujhe ghav kaise kaise……
Ek shikan si chhai rehti hai, Chehre pe mere hardam
Ek pal bhi muskura du, Wo khumar lau kaise………..
Tasvir ban gaya hu, Adhure khayal ki mein
Ek pal bhi poora ho pau, Wo khayal lau kaise………
Jazeer bandh gayee hai, Pairon mein jaise koi
Kaid ho kar reh gaya hu, Apni hi nazar mein jaise…..
Ek chabi dilado mujhko bhi, Udd jau mein bhi pawan ke jaise
Ankhon ki chamak dikha du, Ansu dikhau kaise………
Teri muskan ne diye hai, Mujhe ghav kaise kaise
Sabse usne dostana bana rakha hai
Har kisi ko apna deewana bana rakha hai
Har koi dekh leta hai uski surat me apni surat
Jaise usna apni surat pe koi aina laga rakha hai
Lakho gayal hue uski teero nazar se
Laakho ko usne nishana bana rakha hai
Are tu kyu shamil hota hai un bewkuffo me
Bewkoof to usne sara jamana bana rakha hai
Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli
aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha
jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha
kash ye sab kuch jooth hota
mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota
pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
ai khuda kar de mujhpar thori se raham
sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai .
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE
NA KOI MERI WAFA PAHCHANE
JISKA SAHARA BANA THA KABHI MAI
WO HI LAGE DIL KO DUKHANE
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE
HAR RAAT UNKE YAAD MAIN GUJRE HAR DIN NAYA ZAKHM DE KE JAAYE
AANKHO SE BAHTI HAI ASHKO KI DHARA SITAMGAR JAB YAAD AA HI JAAYE
UNKE LIYE MAI DUNIYA BHULAAI WO HI LAGE MERE DIL KO DUKHANE
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE..
bahut pyar karte hai hum aap se….
Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka
Mere Khayal Wo Dil Se Kabhi Mita Na Saka,
Mujse Wo door Bohat door ho Gaya Tha Magar
Apni Ankhon Se Mere Chehray ko Hata Na Saka,
Mujse Wo Doori Barhana Chahata Tha
Per Kabhi Wo Mujse Door Ja Na Saka,
Kitnay Shikway hein uske Dil May Mere Liay
Chah Kar Be Kabhi Wo Mujhe Bata Na Saka,
Anjaan Rakhna Chahata Tha Mujhe Apni Chahat Se
Hale-e-Dil Mujse Per Chupaa Na Saka..

Kuch is tarah se maine apna jeevan saja diya,
Tere inkaar ko apni takdeer bana lia,
Kar di saari zindagi teri is haseen muskurahat ke naam,
Aur kurban hai tere chehre par, mere subah aur sham,
Samaj nahi pate tere aankhoan ke isharoan ko,
Aur na hi zulfon ke kaale andhere ko.
Chahat hai sirf chand pyare lamhoan ki,
Jinhe aapne mere haathoan se mita dia,
Kuch is tarah se maine apna jeevan saza liya..
Chilman Main Aag Lagi,
hai koi mujhe paani dede,
Gulista jhulaz raha hai,
koi mujhe do pal ki rawani dede…
Gagan chumbti yeh lapte,
bhasam kar dengi mujhe,
Dil main dafan hai kai raaz,
Koi is tanha dil to panha dede…
Dil ki aach mein to main,
pahele se hi jhulaz rahi hun,
kori sadi sukhi hai saanse
Koi mere zindagi ko ek kahani dede..
Gam uthaunga to kuch aur sanwar jaunga main,
Teri julf nahi ki khulkar bikhar jaunga main,
Jindagi hi to shamshire virhana kya,
Maut aayegi to ek phool se mar jaunga main,
Jindagi me kuch kadam sath chal kar to dekh,
Phool bankar teri rahoan me bikhar jaunga main.
hamare dil ke dard ko
hamare apne na samaj paye
to hame samjhe wo aaye
jise ham kabhi na samaj paye..
Na dalo mere muh pe kafan mujhe aadat hai muskurane ki,
Mat daffnao meri lash ko kyuni,
Mujhe ummed hai unke aana ki.

Dil Toot Jata Hai

Zindagi ye rang dikhati hai kitne,
Gair ho jate hain, ek pal mein apne.
Sapno ki duniya mein kabhi na jana yaar,

Main Aur Meri Tanhayee


Main aur meri tanhayee, baithe hai hum do bhai
Le ke haath mein ek kadak adrak-pyali chai
Cha raha hai dil aur dimaag pe ab bus unhi ka khayal
Than-thana raha hai yeh haath, jaise kar diya kisi ne isse ghayal.

Hami Ko Katl Hona Tha


Hami ko katl hona tha banane tajruba shayad,
hami ne mitiyo ke daam me kankar kharide hai,
Kharide hai jis keemat pe Heere tumne jahawalo,
Usi keemat pe maine raah ke pathar kharide hai.

Dil Lagana Chod Diya


Dil lagana chod diya maine,
aanso bahana chod diya maine .
bahut kha chuke dhokhe sanam pyar main,
muskurana isliye chod diya maine.

Ek Pal Mein

Ek pal me sadiyon ka maza hamse puchiye,
do din ki zindagi ka maza hmse puchiye,
bhule hai rafta rafta unhe muddaton me ham,
kishton me khudkhushi ka maza hmse puchiye.

Dil Ki Dunia

dil ki dunia se woh door ho na sake
paas rahe k bhi woh door ho na sake
door rahe k bhi woh paas ana sake
 kabhi hum unke naa woh humare ho na sake….

Khushi Ko Bhula Dia Hai


Ishq ne maausi ki wo saza Di hai…!
Khushi to humne bhula Dia hai…!!!
Bita rahe hain zindgi ko kuch is tarah…!
Aasuo ko juthi hasi ne panah Di hai…!!!

Kabhi Samajh Pati

Kabhi samajh pati is pagle ka pyar
to aaj mujhse dur na rhati
smile rhati hai face per aapke jane ke bad
feelings to woh samajhta hai dusro ki jisne pyar kiya ho
duniya wale kya samajhenge mujhe jo sirf selfish or fake hote hai
dosti karte hai log matlab ke liye
pyar karte hai unhe akela chod jane ke liye
bhul gaya tha mai har koi sache dil se chahne wala nahi hota
jinki yad mai hum din bhar roya karte the
woh humse juda rha ker aise chale gaye
jaise hume kabhi jante hi nahi the
ek bar wajah btadi hoti jane ki
jiski khushi or chehre pe smile dekhkar hme khushi milti thi
kya khata mai unse na bichadne ke liye
kyuki sacha pyar to mane hi kiya tha
bta diya hota ek bar I don’t need u
yeh banda aapke samne kabhi nahi aaya hota.

Mahek Uthi Fiza


Jite the kabhi hum bhi shan se
mahak uthi thi fiza kisi ke naam se
gujre hain hum kuch aise mukam se
ki nafrat ho gayi hai mohabbat ke naam se

Gam Ki Andheri Raat


Gam ki andheri raat mein
dil ko na bekarar kar
subhah jarur ayegi
subhah ka intezar kar……….

Chhithiya


Uske aane ki aahat se aksar halchal si ho jati thi,
Har Pal khusi aur gum ki yaad dilati thi,
kabhi koi humara pata puchta kabhi hum kisi ka,
wo baate hi to thi jo bus apnepan ka ahsas dilati thi,
kahi ummid thi bichde hue se milne ki,
wo baate hi to thi jo kisi k paas lati thi,
kabhi gum me ro diye kabhi khusi me ro diye,
wo baate hi to thi jo chhthiyo me aati thi,
kabhi maa ne yaad kiya kabhi baap ne yaad kiya,
kabhi bahan yaad kiya kabhi bhai ne yaad kiya,
wo bate hi to thi jo door rahke bhi unke paas le aati thi,
kahi koi jung me tha kahi koi pardes me,
koi dhoodh raha tha majil ka rasta,
wo baate hi to thi jo akelepan me bhi sabke paas lati thi,
kahne ko baate kai he aur har baat ki yaade kai he,
wo chhthiya hi to thi jo haar waqt ko sath jod jati thi………

Char Kandhe


Char kandhe unko bhi milenge
char kandhe hamko bhi milenge
phool unpe bhi barsenge
phool ham par bhi barsenge
bas phark itna hoga ki
unka to kisi ko intzar hoga or hamara antim
sanskar hoga…..

Dekha Khawab


Bada Ruaab hai Teri Rahnumai Mein,
Dekha Khawab to ek Harjai Mein,
Muqaddar to Muqaddar hai kahaan rota,
Maara gaya ‘Baawla’ Jag-Hansai mein!!!

NIRASHA


Kyon diya sukhad anubhav mujhko yeh,
Phir yadon ke bhawar main chora kyon
Bitha ke mujhe man mandir main
Phir man darpan ko tora kyon
Paa jae manav to soche man main
Phir pyaar main piraa paye kyon

Asha Aur Nirasha


Thi asha man ko pyar milega
Unki bahon ka gale ko har milega
Nisvarth prem ke path par ab to
Agaadh prem vyapar chalega
Hoga kitna sukahad yeh bandhan
Aashoayein ko jeevan daan milega

Dil Se Pucha

Dil se pucha ik din kyu gunah karte ho tum
jiski saja humhe bhugatni padti hai ,
gunah karte ho tum sahana padta hai hume,
tum to phir bhi rahat paa lete ho
gum to hume utahana padta hai.

Pak Pyar


YU TO PYAR PAK MANA JATA HAI
PAR HASINO KO DEEWANE PAR TARAS NAHI AATA HE
MAJNU NE REGISTAN KI KHAQ CHHANI
AUR LEILA NE MEHALOAN KE SUKH PAYE
AB ITIHAS KUCH BHI KAHTA HO
ISHQ ME PATHAR AKELE MAJNU NE KHAYE

Ek Muskurahat

Uski ek muskurahat par hum apne gam bhula dete the,
uski ek ada par hum dil ke dard bhula dete the,
wo chhod kar chale gaye kisi aur ke liye
jinke liye hum duniya bhula diya krte the.

Tuesday, November 27, 2012

Sad Love Shayari


Parvane Chale Aate Hain


Shama jalti hai to parvane chale aate hain ,
Hasino ko milne deewane chale aate hain ,
Tum to meri maut per bhi nahi aai ,
Is samay to begane tak bhi chale aate hain .

Sacha Pyar Na karna


Sacha pyar na karna kabhi kisi se
Sukh chain sab lut jayega
Beech pyar ke jab chot lage ge
Khuli hawa mein bhi dam ghut jay ga .

Jahan E Dil Shayari


Sabko dil ke jakhm dikhaye ek tujhi ko dikha na sake,
tera daman dur nahin tha hanth humin faila na sake.
ai mere maula kaise banaya ye chehra pari ka,
siney mein basa ke aankhon mein sama na sake.
na tujhse kuch mujhe garaz na tujhe kuch mujhse kam,
mujhe malum tha magar ye dil ko samjha na sake.
ab tujhe kis munh se kahein na ja chode ke mujhe,
ek thi diwar nahin fand paye aur nahin use gira sake.
jahan-e-dil ka ujda chaman kuch yun tha “raaj” ka,
umde badal garze badal magar do bund barsa na sake.

Sad Love Shayari



Kitne ghamon ke badal aaye kitni aansuen tal gayi,
dil tha ki fir behal gaya jan fir samhal gayi.
khayalon ke jahan mein tere husn ki shaman kya thi,
dard ka chand bujh gaya hizra ki raat dhal gayi.
jab bhi tujhe yaad kiya meri subah mehak uthi,
jab tere ghum ko jagaya to raat meri machal gayi.
har baat karni thi saf ye soch ke chale the hum,
kehne mein unke samne baat kuch badal gayi.
gr wo smjhe mere khayalat is ghazal se “raaj”,
ehsaas na hua subah kab huyi sham kab nikal gayi.

Kaantoan Par Chalna Sikh Liya


Phulo ki aas thi barasose
ab to kaantoan par hi chalana sikh liya
ji sake pyar ke liye mahino tarase
uske bagair rehena sikh liya
or jisake liye sari hade par karadi mohobbat ki
ab to usse nafrat karana bhi sikh liya……..

Har Baar Azmane ki Aadat


har baar azmane ki adat se majbur hain wo apni,
dard jawan kar, mukar jate hain,
puche koi unse, itne mushkil hain kya raste
jo wo do gali chod ke nikal jate hain.

Ik Husn Ki Dewi Se


Ik husn ki dewi se mujhe pyaar hua thaa
dil uski mohaabat main giraftaar hua thaa
wo roop ke jis roop se kaliyan bhi lajaayen
wo julf ke jis julf se sharmaaye ghataayen
maikhane-e-nigaahon pe adaaon ke taraane
de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
ik ped ke saaye main jab ikraar hua thaa
kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
angdai na lekar meri baahon ke sahaare
gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
usne bhi kai baar mere baal sanwaare
ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa
kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
us husn ki dewi ne bhi nazro ko firaaya
kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
aachal mere haathon se mohaabat ne chudaaya
ik raat ko usne mujhe sota hua choda
chal di wo kahin pyaar ko rota hua choda
soya hua main neend se jaaga jo sawere
wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
hote hain bure waqt main apne bhi paraaye
kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa

Bhadak rahi hai aag


Bhadak rahi hai aag si hawaaon mein
sulag raha hu baadalo ke chaaon mein
bahaar mujh se chinn gayi mujhe bahaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye
kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
main lut gaya hoon dil ki baat maanke
na mujhko chaahiye wafa na mujhko pyaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaam chaahiye
na jaane kab ye dil ka dard jaayega
rahoonga hosh main to gham sataayega
mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
mujhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye
tadap na mere dil kisi ki aas mein
hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas mein
tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaarn chaahiye

Jise Samaj Na Paya


haste bhi rahe, rote bhi rahe , yeh jindgi bhi albeliu hai
jise samaj na paya hu abtak, mera jeevan ek paheli hai.
tum kya usko suljaoge, jisko ke main kud suljha na saka
chalta hi raha rste pe shi, phir bhi manjil ko pa na saka
taqkdir ne mujse daga kiya, kismat koi khel to kheli hai
jise samaj na paya .
gairo se kare kya shikwa koi, apno ne dil ko toda hai
jab thi apno ki jarurt muje, tb tb muje tanha chora hai
ab maut na yarro aayegi ,ye khele aankh micholi hai
jise samaj na paya
duniya ne dhoke lakh diye, main phir bhi use sehta hi gaya
jab tod diya tune dil ko, main such kehta hu ji na saka
jo khel tha khela duniya ne, tu bhi wahi khel to kheli hai
jise samaj na paya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.
Duniya ki is bhag daud me kho chuka the riste sab,
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya.
Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki ankhen,
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya.
Roj sapno se baatein karta tha main,
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya.
Jhooth bolta hoon apne aap se roj main,
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya.
Dil todta hoon sab ka apni baaton se main,
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia..
aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.

Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli


Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli
aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha
jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha
kash ye sab kuch jooth hota
mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota
pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
ai khuda kar de mujhpar thori se raham
sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai.

Koi umeed bar nahi aati,

Koi umeed bar nahi aati,
Koi surat nazar nahi aati.
Mout ka ek din muaeeyn hai,
Nind kyu raat bhar nahi aati.
Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
Ab kisi baat par nahi aati.
Janta hu sawab-e-taat-o-zohad,
Par tabiyat idhar nahi aati.
He kuchh esi hi baat jo chup hu,
Warna kya baat kar nahi aati.
Kyu na chikhu ki yaad karte hain,
Meri aawaz gar nahi aati.
Gaag-e-dil gar nazar nahi aata,
Boo bhi ye charagar nahi aati.
Hum waha he jahaa se humko bhi,
Kuchh humari khabar nahi aati.
Marte he aarzoo me marne ki,
Mout aati he par nahi aati.
Kaabe kis muh se jaaoge GHALIB,
Sharm tumko magar nahi aati.

Tamanna hazaar ho bhi to kya Karen hum


Tamanna hazaar ho bhi to kya Karen hum
yuhin chalte chalte jayenge kahin thum
Rahat nahin hai ek pal bhi
Har pal tadapte hain sam o sahar
Jane kya hai ye raze zindagi
Jaan pe ban aaye hai meri nikle na dum
yuhin chalte chalte jayenge kahin thum
Tanhaai iskadar mere saath hai
Na to hai ab koi manzil ki khabar
Dekho ye kaisa mod aagaya hai
kahan hai shuru zindagi kahan hai khatam
yuhin chalte chalte jayenge kahin thum
Kab talak jiyenge kisi aasre pe
Badhti hi jaa rahi hai mushkilen
Kismat bhi shayad khafa hai
Khudaya jaane hoga kab, mujhpe bhi karam
yuhin chalte chalte jayenge kahin thum

Jis Tarah Bhi Ho Saka



Jis tarah bhi ho saka us tarah toda mujhe,
Zindgi ne maut ke qabil nahi samjha mujhe.
Zindgi maankar chalati rahi ghoda mujhe,
Har kadam par maarti hai ek naya koda mujhe.
Zindgi har waqt meri peeth par baithi rahi,
Apni marzi ke mutabiq har taraf moda mujhe.
Is tarah apno ke ahsaan hai mujh par bahut,
Chot de kar dil ko sheeshe ki tarah joda mujhe.
He zindge meri tujhse iltiza itni hai bus,
Chhodkar nafrat ki bhasha pyar de thoda mujhe.
Warna ek din jalti hui aag se bolegi meri laash yu,
Zindgi ne aag ke dariya me laa chhoda mujhe.

Tumne jo meri kabr par



Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya
Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya
Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya
Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya..
Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya.
Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya.
Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya.
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya..!!


dard se mera daaman bharde


dard se mera daaman bharde, ya allah
phir chahe deewana karde, ya allah

maine tujh se chand sitare kab mange,
roushan dil, bedaar nazar de, ya allah


suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke,
sachmuch ki ab koi saher de, ya allah

ya dharti ke zakhmon per marham rakhde,
ya mera dil patthar kar de, ya allah

Pehle tarasha kanch se us ne mera wajood

Pehle tarasha kanch se us ne mera wajoodPehle tarasha kanch se us ne mera wajood,Phir sheher bhar ke hath me pathar thama die.


Teri yaad me jara ankhe bhigo luUdas raat ki tanhai me solu Akelegum ka bojh ab sambhlta nai Agar tu mil jaye to tujse lipat kar rolu

Thursday, November 15, 2012

MANAS MAZANO 6U

Fakiri hal che maro kashi milkat vinano 6u, mane na lut o duniya hu khali khajano 6u, pranay ma thai gayo 6u maraz pratye beparvah k jane hu maro nathi koi bijano 6u, khuda ka mane malti nathi khud ne maja mari, badhano mat to evo che hu manas majano 6u

Monday, November 12, 2012

DASTANE LOVE-12


MILNE KI KHUSHI

MILNE KI KHUSHI NA BICHHADNE KA GHAM
NA TANHA NA UDAAS HAIN HUM
KAISE KAHEIN KAISE HAI HUM
BASS YUN SAMAJH LO
BAHUT AKELE HAIN HUM

AAINA HOON MAIN

AAINA HOON MAIN MERE SAAMNE AAKAR DEKHO
KHUD NAZAR AAOGE JO AANKH MILA KAR DEKHO
MERE GHAM ME MERI TAKDEER NAZAR AATI HAI
DUGMAGAOGE MERA DARD UTHA KAR DEKHO
YUN TU AASAAN NAZAR AATA HAI MANZIL KA SAFAR
KITNA MUSHKIL HAI MERI RAAH SE JAAKAR DEKHO
DIL TUMHARA HAI MAIN YE JAAN BHI DE DOON TUM PAR
BAS MERA SAATH ZARA DIL SE NIBHA KAR TO DEKHO
MAUT TO NISHCHIT HAI MAGAR TUM SE WAADA HAI MERA
LAUT AAUNGA MAIN SIRF IKBAAR BULA KAR TO DEKHO
PAANI KISME ZYADA HAI

WO EK LADKI
BAHUT KHAMOSH REHTI THI
KISI SE KUCHH NA KEHTI THI
WO JAB BHI MUSKURATI THI
BAHAREN AA SI JAATI THI
USKI EK PAL KI UDAASI SE 
KHIZAYEN AANE LAGTI THI
YUN MEHSUS HOTA THA
KE JAISE HAR EK MAUSAM
USKE ISHARE KI TAAK ME HO
MAGAR EK DIN
MERE BAS ITNA KEHNE PAR
"HUM AB MIL NA PAYENGE"
WO ITNA TOOT KAR ROYEE
KE SAMANDAR SOCHTA HOGA
USKI AANKHON ME YA MUJHME
PAANI KISME JYADA HAI

Yun Teri Rehguzar Se Diwanavaar Guzare 

yun teri rehguzar se diwaanavaar guzare 
kaandhe pe apne rakh ke apna mazaar guzare 
baithe rahe hain raste mein dil ka Khandhar saja ke
shaayad isi taraf se ek din bahaar guzare 
behti hui ye nadiya, ghulte huye kinare 
koi to paar utre koi to paar guzare 
tune bhi hum ko dekha hamne bhi tujhko dekha 
tu dil hi har guzara ham jaan har guzare
                                                                        
AANKHEN BHEEG JATI HAIN

SAMANDAR MEIN UTARTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TERI AANKHON KO PADHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TUMHARA NAAM LIKHNE KI
IJAAZAT CHHIN GAYI JAB SE
KOI BHI LAFZ LIKHTAA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
MAIN SAARA DIN WAISE TO BAHUT
MASHROOF REHTA HOON MAGAR JYON HI
KADAM CHAUKHAT PE RAKHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN

MILNE KI KHUSHI

MILNE KI KHUSHI NA BICHHADNE KA GHAM
NA TANHA NA UDAAS HAIN HUM
KAISE KAHEIN KAISE HAI HUM
BASS YUN SAMAJH LO
BAHUT AKELE HAIN HUM

AAINA HOON MAIN

AAINA HOON MAIN MERE SAAMNE AAKAR DEKHO
KHUD NAZAR AAOGE JO AANKH MILA KAR DEKHO
MERE GHAM ME MERI TAKDEER NAZAR AATI HAI
DUGMAGAOGE MERA DARD UTHA KAR DEKHO
YUN TU AASAAN NAZAR AATA HAI MANZIL KA SAFAR
KITNA MUSHKIL HAI MERI RAAH SE JAAKAR DEKHO
DIL TUMHARA HAI MAIN YE JAAN BHI DE DOON TUM PAR
BAS MERA SAATH ZARA DIL SE NIBHA KAR TO DEKHO
MAUT TO NISHCHIT HAI MAGAR TUM SE WAADA HAI MERA
LAUT AAUNGA MAIN SIRF IKBAAR BULA KAR TO DEKHO

Dil Haar Gaya, Gam Jeet Gaya

kehne ko woh pehli chahat thi
woh jis mein junoon tha, shiddat thi
pakeeza thi, anmol thi woh
khwabon ke jahan ki ulfat thi
mehboob ko bhi malum na tha
aisi khamosh mohabbat thi
khamosh rahi bekaar hui
na jeet hui na haar hui
phir waqt ne apni chaal chali
woh furqat se do-chaar hui
kaisi khamosh mohabbat thi
gulzaar se phir woh khaar hui
furqat se junoon mein aag lagi
is dilke sukoon meom aag lagi
ashqon ki ladi aankhon se bandhi
is jism ke khoon mein aag lagi
phir waqt ne apni chaal chali
dil se woh khumaar-e-preet gaya
honthon se wafa ka geet gaya
kehne ko woh pehli chahat thi
uska bhi zamana beet gaya
hijraan ki shabon se lad lad kar
dil haar gaya, gam jeet gaya



Hum Ishq-e-daman Kyun Bhigote Hai

shaoor-e-zeest se jab hum kalam hote hai
fana ke bojh ko hum aansuon se dhote hai
khushi ke phool bas ek pal mein sukh jate hai
chalo hayaat mein kuchh talkhiyan pirote hai
humari neend humesha ki neend hoti hai
hum ahl-e-dard tou sirf ek baar sote hai
zara si der mein mulk-e-adam ke sannate
riday waqt ke sare nishan dhote hai
wafa ki raah mein chalta nahi hai saath koi
woh jaa chuka hai to kya ghum ke sabko jana hai
hum ishq-e-daman ko kyun bhigote hai

Ashq-e-ghum

fiqr ab nahi koi ashq-e-ghum bahane ki
raas aa gayi humko gardishein zamane ki
baargaah-e-ulfat mein chaar simt khushboo hai
kuchh tumhari baaton ke kuchh mere fasane ki
phool tod kar dekho woh bhi aah bharta hai
bas sada nahi aati dil ke toot jane ki
roshni se baam-o-dar shehar ke munavvar hai
kya mujhe ijazat hai ek diya jalane ki
yeh maze aseeri ke ahl-e-shehar kya jane
ghar mein dekh lete hai shaql qaidkhane ki
bas isi tazabzub mein umr kat gayi
khaur baig-o-barran ka fiqr aashiyane ki

Nazuk Rishte
bahut nazuk hai yeh rishte khudaraa inse mat khelo
badi taklif hoti hai ke jab yeh chhoot jate hai
rag-e-gul se bhi hai patle yeh dil ke taar
zara si thes lagti hai ghadi mein toot jate hai
tumhare hum qadam hai jitne saaye inse tum bachna
khabar hone nahi dete yeh sab kuchh loot jate hai
nahi sheeshe ke dil achche sayane kehte aaye hai
zara agar haath se chhute to gir kar foot jate hai
jo guzre tum pe seh jana kabhi kehna na kisi se
ke chahe sach bhi ho yeh jane chhoot jate hai

WO CHALE GAYE

HUM JEE RAHE THE UNKA NAAM LEKAR
WO GUJARTE THE HAMARA SALAAM LEKAR
EK DIN WO KEH GAYE BHULA DO HUMKO
HUMNE PUCHA KAISE
WO CHALE GAYE HATH MEIN JAAM DEKAR
Kya Karte

mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte 
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraz kya karte
sanam tujhse mohabbat ka bhala aagaaz kya karte
labon par baat aayi par na thi aawaaz kya karte
mir-e-ehbaab kya karte mir-e-dam-saaz kya karte
mujhe jab dard hi tha raas chehra-saaz kya karte
hujoom-e-shehar mein hum kho gaye kuchh chain pane ko
akele mein satati thi teri aawaaz kya karte
dil-e-nazuk humara usne pal mein tod dala tha
use bhaati thi toote kaanch ki aawaaz kya karte
hum uske samne chup saadh kar baitha kiye phir bhi
jafa-kaari se pesh aaya woh heela-saaz kya karta
sajakar sau tabassum ek gam tum se chhupati thi
magar mere tum jaan kar woh saare raaz kya karte

Bigda Mera Naseeb To

bigda mera naseeb to sab kuchh sanwar gaya
kaanton pe main giri aur zamana guzar gaya
toofan se thak ke maine patwaar chhod di
jab doob main chuki samunder thehar gaya
tukde tere wajood ke phaile the mere paas
unko sametne mein mera wajood bikhar gaya
manzil ko dhundta tha musafir yeh kya hua
ek rehguzar pe uska safarb hi bichhad gaya
dhalne lagi hai raat chale jaao doston
mujhko bhi dhundhna hai mera ghar kidhar gaya

Aankhon Aankhon Mein

aankhon aankhon mein rahe aur koi ghar na ho
khwaab jaisa kisi ka muqaddar na ho
roshni hai to kis kaam ki roshni
aankh ke paas jab koi manzar na ho
jisko kamtar samajhti rahi ho
milke dekho kahin tumse behtar na ho

Aarzoo Thi Ke

aarzoo thi usko bhi main muskurate dekhti
zindagi ki raah mein kuchh durr jate dekhti
mujhse kehta gar kabhi woh dekh milna ab nahi
ashq peeti zakhm sehti dil jalta dekhti
woh jo aata laut aati maykade ki rounakein
muskurati gam bhulati gungunate dekhti
dekhti duniya sambhalti aise ke bimaar-e-gam
ek nazar ki baat thi jaadu jagate dekhti
usko jaldi thi bichhadne ki woh gaya
gar woh sunnta baat meri yoon manata dekhti

Log Hame

log hame bulate hai apna samajhkar
manzil aane par chhod dete hai paraya samajhkar
BAS EK PAL

PAL PAL TARASTE THE USS PAL KE LIYE 
WOH PAL AYA BHI TO SIRF EK PAL KE LIYE
SOCHA THA USE ZINDAGI KA HASEEN PAL BANADENGE
WOH PAL RUKA BHI TO BAS EK PAL KE LIYE
                                                       
Maine Ashq Ashq Baha Diya

shab-e-gam ke ashqon ke siwa tere ishq ne mujhe kya diya
jis dil mein teri hi chaah thi usi dilko tumne jala diya
tu jo dilka chain-o-qaraar tha tu jo dillagi ka khumaar tha
tujhe dilse humne mita diya, tujhe dilse humne bhula diya
woh jo saath mere tha raat din, woh to sirf tera khayal tha
use zehn-o-dil se nikaal kar gaye maziyon mein chhipa diya
har umeed waqt ki gard mein yoon dabi ke phir na ubhar saki
jise gard-e-waqt na chhu saki use aansuon ne mita diya
na to dil ko ishq ka hai junoon na nazar kisi ki talash mein
teri yaad dil se samet kar maine ashq ashq baha diya

Tera Tasvvur

woh tasvvur jo akele mein hansata tha kabhi
woh ek shaks khayalon mein jo aata tha kabhi
jiske aane se hawaon se mehek uthti thi
woh jo chalta hua saba ko jalata tha kabhi
jiske hansne ne gulon ko bhi saliqa baksha
jo tehalta hua lehron ko sikhata tha kabhi
saare taaron ki chamak mand kiye deta tha
woh jo palkon ko nazakat se uthata tha kabhi
ab ke dushwaar hai kyun uska tasvvur karna
jiska chehra meri yaadon ko sajata tha kabhi

Mujhe Dil Se Bhula Diya

mere dard-e-dil ki thi woh daastan
jise hansi mein tumne udda diya
jis se bach rahi thi main sambhal sambhal kar woh dard aaj fir tumne jaga diya
mujhe pyar ka shauk na raha
mere dost bhi hai sab bewafa
jo kareeb aaye to zikr hua
jo durr hue to bhula diya
woh jo milte the kabhi raat mein
gile hote the unki har baat mein
na woh dil raha na woh dost raha
mere khwaabon ko bhi sula diya
woh to kehte the har baat mein
ke hum hi baste the unki zaat mein
main na jaan sakungi yeh kabhi
kyun mujhko dil se bhula diya

DIL KI DUNIYA

DIL KI DUNIYA TOOTNE KE BAAD SAB ROTE THE,
HUM THE KI PAGALON KI TARAH HANSTE THE,
YEH HAL-E-DIL HUM KAISE SUNATE SABKO KI,
TAKLEEF NA HO UNKO ISS LIYE AKELE ROTE THE.
thank you