Blogger Widgets

Monday, January 28, 2013

Jamunon key baagh par chhai ghata


Jamunon key baagh par chhai ghata
Oodi oodi ladkiyan hansne lagin
Shaakh thi kamzor shayad isliye
Pattiyon par pattiyan marne lagin
Raat ki tanhaiyon ko soch kar
Chaai ki do pyaliyan hansne lagin
Dodte hain phool baston ko dab aye
Paon paon titliyan chaIne lagin
 Chal musaafir battiyan jalne lagin
Aasmani ghantiyan bajne lagin
Khil raha hai shaam ka kaala gulab
Zard sookhi pattiyan jhadne lagin
Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya
Shaam aayi battiyan jalne lagin
Din key saare kapde dheele ho gaye
Raat ki sab choliyan kasne lagin
Raat ek talaab key aaine mein
Jhilmilaati kashtiyan chaIne lagin
Doob jayenge sabhi darya pahaad
Chaandni ki naddiyan chadhne lagin
Band karlo dar dareeche khidkiyan
Phir hawa mein seetiyan bajne lagin
Jaamunon key baagh par chhai ghata
Oodi oodi ladkiyan hansne lagin

No comments:

Post a Comment

thank you