Blogger Widgets

Thursday, November 29, 2012

MEER


ashk ankhon main kab nahin ata
lahu ata hai jab nahin ata
hosh jata nahin raha lekin
jab wo ata hai tab nahin ata
dil se rukhsat hui koi khwahish
girya kuch be-sabab nahin ata
ishq ka hausala hai shart warna
bat ka kis ko dhab nahin ata
ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata
                                                                                      
arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain
barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain
gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain
ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain
chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain
phir bhi karte hain “Mir” sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna
ashiq ka apane akhri didar dekhna
kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna
ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna
ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
laga hai
 mere paon mein a kar dekhna
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhna
sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib
 ye gulzar dekhna
gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar
is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka
 kahin har dekhna
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna
us khush-nigah ke ishq se parhez kijio ‘Mir’
jata hai leke ji hi
 ye azar dekhna

andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil jale ko nind na ai tamam shab
chamak chali gai thi sitaron ki subah tak
k asman se didabarai tamam shab
jab main ne shuru qissa kiya ankhen khol din
yaqini thi mujh ko chashm numai tamam shab
waqt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki
thi dushmanon se in ki larai tamam shab
tare se teri palkon pe qatre the ashk k
de rahe hain “Mir” dikhai tamam shab

ab jo ik hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki
 ye nishani hai
khak thi maujzan jahan mein, aur
ham ko dhoka
 ye tha k pani hai
giriya har waqt ka nahin behech
dil
 mein koi gam-e-nihani hai
ham qafas zad qaidi hain warna
ta chaman parfashani hai
yan huye ‘Mir’ ham barabar-e-khak
wan wahi naz-o-sargirani hai
                                                                                        
a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan
yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan
ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan
hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan
is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan
mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan
shayad ke kam subh tak apana khinchena ‘Mir’
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

No comments:

Post a Comment

thank you