Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Phhol Hota To Tere Dar Pe
Saja Bhi Deta
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Payamber Na Muyaser Hua To
Kia Khoob Hua
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte
Paas Jab Tak Woh Rahe Dard
Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah
Aks Khushbo Hon Bikherne Se
Na Roke Koi
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.
Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae
Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.
A Mere Gul-E-Zameen
Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.
Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak
Sochta Raha
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai
Too Badlta Hai To Be Saakhta
Meri Aankhen
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.
Ek Se Musaafir Hein Ek Saa
Muqader
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand
Woh Jawaz Dhoondh Rahi Thi
Nai Muhabat Ka
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon
No comments:
Post a Comment