Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai
Na To Manzil, Na Humsafer,
Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.
Unke Daman Main To Chand
Tare Hain
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.
Jakham Pe Jakham Diye Jata
Hai
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.
Kai Roj Se Ye Dil Kahin Lagta Hi
Nahi
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.
Jamane Ko Hua Unka Deedar
Mager
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.
Jabse Bikhra Hua Saman
Sajaya Hai Maine
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.
Jo Pankh Fadfada Ke Reh Jata
Hai Akser
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.
Is Sheher Main Shayad Wo
Naya Naya Hai
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.
Padausi Ka Haal Poonchun Ye
Fursat Kahan Hai
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.
Mastghan Dar-E-Jehen Pe
Kuchh Tikta Hi Nahi
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.
No comments:
Post a Comment