Blogger Widgets

Friday, December 7, 2012

suna hai log usay aanh bhar kay


suna hai log usay aanh bhar kay daikhtay hai
so uskay shahar
 main kuch din thehar kay daikhtay hain
suna hai rabt hai usko kharab haloon say
so apnay ap ko barbad kar kay daikhtay
 hain
suna hai dard ki gahak hai chashmay naz us ki
so hum bhi uski gali say guzar ke daikhtay
 hain
suna hai us ko bhi hai shar-o-shairy say shagaf
so hum bhi mojzay apnay hunar ke daikhtay
 hain
suna hai bolay to batoon say phool jhartay hain
ye bat hai to chalo baat kar ke daikhtay hain
suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bahme falaq se utar ke daikhtay
 hain
suna hai din ko usay titliyan satate hain
suna hai raat ko jugnu taher kay daikhtay
 hain.
suna hai us kay badan ki tarash aise hai
kay phool
 apni qabahain qatar kay daikhtay hain
suna hai us kay shbistan say mutassil hai bahisht
makeen udhar kay bhi jalway idhar kay daikhtay
 hain.
suna hai rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
chalay to us ko zamanay tehar kay daikhtay hain
kisay naseeb kay bay perhan usay daikhay
kabhi kabhi daro dewaar ghar kay daikhtay
 hain
kahanian hi sahi sab mubalgay hi sahi
agar woh khuwab hai tabeer kar ke daikhtay
 hain
ab us kay shaher main tehrain ke kooj kar jain
faraz ao sitare safar kay dhaiktay
 hain

No comments:

Post a Comment

thank you