Blogger Widgets

Thursday, December 6, 2012

Faiz's Poetry


dono jahan teri mohabbat main har k
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k
viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k
ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k
duniya ne teri yad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k
bhule se muskura to diye the wo aj ‘Faiz’
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k

dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain
ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain
raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain
kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain
aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain
teri avaz k saye tere honthon k sarab
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
apni khushbu main sulagti hui madham madham
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
yun 
guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat



chand roz aur meri jan faqat chand hi roz
zulm k chanw main dam lene par majbur hain ham
ik zara aur sitam sah len tarap len ro len
apne ajdad ki miras hai mazur hain ham
jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis k qaba hai
jis main har ghari dard k paiband lage jate hain
lekin ab zulm k miyad k din thore hain
ik zara sabr k fariyad k thore hain
arsa-e-dahar k jhulsi hui wirani main
ham ko rahna hai par yun hi to nahin rahna hai
ajnabi hathon ka benam garan-bar sitam
aj sahna hai hamesha to nahin sahna hai
ye teri husn se lipti hui alam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar
chandani raton ka bekar dahakta hua dard
dil k besud tarap jism ki mayus pukar
chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka
dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai
ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai
kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai
ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai
sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai


bol k lab azad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawan jism hai tera
bol k jan ab tak teri hai
dekh k ahangar k dukan main
tund hain shole surkh hai ahan
khulne lage quflon k dhane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban k maut se pahle
bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahna hai kah le



bahar ai to jaise ek bar
laut aye hain phir adam se
vo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit k har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain
ubal pare hain azab sare
malal-e-ahaal-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir k bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar ai to khul gaye hain
naye sire se hisab sare

aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye
bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
har rag-e-khun main phir charagan ho
samne phir wo benaqab aye
umr k har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa k bab aye
kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aye
na gai tere gam ki sardari
dil main yun roz inqalab aye
jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
jab bhi ham khanamankharab aye
is tarah apni khamashi gunji
goya har simt se jawab aye
‘Faiz’ thi rah sar basar manzil
ham jahan pahunche kamayab aye
                                                    
aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-
mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai
aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai
hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai
hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai
wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai
bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai
dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai
ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko 
khizan thahri hai
ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
“Faiz” gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai



No comments:

Post a Comment

thank you