Is tarah saath nibhna hai dushwar sa
Tu bhi talwar sa mein bhi talwar sa
Tu bhi talwar sa mein bhi talwar sa
Ab hai Toota sa dil khud se bezaar sa
Is haweli me in lagta tha darbaar sa
Is haweli me in lagta tha darbaar sa
Khubsoorat se pairon mein zanjeer ho
Ghar mein baitha rahun main giraftar sa
Ghar mein baitha rahun main giraftar sa
Main farishton ki sohbat key layaq nahin
Hamsafar koi hota gunahgar sa
Hamsafar koi hota gunahgar sa
Baat kya hai ke mashhoor logon key ghar
Maut ka sog hota hai tyohaar sa
Maut ka sog hota hai tyohaar sa
No comments:
Post a Comment