Blogger Widgets

Wednesday, November 28, 2012

sad sayaries


patjhad me ek phool khila diya tune,
ek patthar ke but ko amrit pila diya tune,
jindagi bhar tera ehsan maanate rahenge,
ek jinda laash ko jina sikha diya tune.

Galti se bhi aankhen mat kholiye
Yeh khwaab hai kahi toot na jaaye
Hum milte to hai isi kaaran
Darte hai yeh khoobsurat sapna
Kahi bikhar na jaaye…
Na hua mujhe kabhi dukh, na hua mai kabhi bebaaq tha..
Chuha jis chehre ko maine kabhi, vo humesha se mere liye raakh tha…
Baha mai kabhi nadi bankar, baha mai kabhi fiza bankar..
Koi na tha sath chalne ko, koi tha to sirf shant zamaane ka sath tha…
Yaad ban ke hansi teri .
Hontho pe bhi aai…..
Magar vo bekhabar …
Saath main ansoo bhi le aai …


Waqt bhi ajeeb manzar dikhata hai,
Kabhi hasata kabi rulata hai,
Kal jin palo k saath hasey thy
Aaj unn palo ko yaad karke ye waqt rulata hai
Dooriyon ke saath safar jari hai..
Waqt ki kalam se zindagi ka farman abhi jari hai
Tumhe yaad karna aur unme kho jana ye silsila jari hai
Tum saath ho achanak bhram tootne ka dard bas yahin beemari hai
Laut kar aa jao kaise bhi bas yahin koshish jari hai
Ankhon ki chamak dikha du, Aansu dikhau kaise
Teri muskan ne diye hai, Mujhe ghav kaise kaise……
Ek shikan si chhai rehti hai, Chehre pe mere hardam
Ek pal bhi muskura du, Wo khumar lau kaise………..
Tasvir ban gaya hu, Adhure khayal ki mein
Ek pal bhi poora ho pau, Wo khayal lau kaise………
Jazeer bandh gayee hai, Pairon mein jaise koi
Kaid ho kar reh gaya hu, Apni hi nazar mein jaise…..
Ek chabi dilado mujhko bhi, Udd jau mein bhi pawan ke jaise
Ankhon ki chamak dikha du, Ansu dikhau kaise………
Teri muskan ne diye hai, Mujhe ghav kaise kaise
Sabse usne dostana bana rakha hai
Har kisi ko apna deewana bana rakha hai
Har koi dekh leta hai uski surat me apni surat
Jaise usna apni surat pe koi aina laga rakha hai
Lakho gayal hue uski teero nazar se
Laakho ko usne nishana bana rakha hai
Are tu kyu shamil hota hai un bewkuffo me
Bewkoof to usne sara jamana bana rakha hai
Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli
aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha
jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha
kash ye sab kuch jooth hota
mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota
pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
ai khuda kar de mujhpar thori se raham
sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai .
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE
NA KOI MERI WAFA PAHCHANE
JISKA SAHARA BANA THA KABHI MAI
WO HI LAGE DIL KO DUKHANE
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE
HAR RAAT UNKE YAAD MAIN GUJRE HAR DIN NAYA ZAKHM DE KE JAAYE
AANKHO SE BAHTI HAI ASHKO KI DHARA SITAMGAR JAB YAAD AA HI JAAYE
UNKE LIYE MAI DUNIYA BHULAAI WO HI LAGE MERE DIL KO DUKHANE
DARD MERE DIL KA KOI BHI NA JAANE..
bahut pyar karte hai hum aap se….
Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka
Mere Khayal Wo Dil Se Kabhi Mita Na Saka,
Mujse Wo door Bohat door ho Gaya Tha Magar
Apni Ankhon Se Mere Chehray ko Hata Na Saka,
Mujse Wo Doori Barhana Chahata Tha
Per Kabhi Wo Mujse Door Ja Na Saka,
Kitnay Shikway hein uske Dil May Mere Liay
Chah Kar Be Kabhi Wo Mujhe Bata Na Saka,
Anjaan Rakhna Chahata Tha Mujhe Apni Chahat Se
Hale-e-Dil Mujse Per Chupaa Na Saka..

Kuch is tarah se maine apna jeevan saja diya,
Tere inkaar ko apni takdeer bana lia,
Kar di saari zindagi teri is haseen muskurahat ke naam,
Aur kurban hai tere chehre par, mere subah aur sham,
Samaj nahi pate tere aankhoan ke isharoan ko,
Aur na hi zulfon ke kaale andhere ko.
Chahat hai sirf chand pyare lamhoan ki,
Jinhe aapne mere haathoan se mita dia,
Kuch is tarah se maine apna jeevan saza liya..
Chilman Main Aag Lagi,
hai koi mujhe paani dede,
Gulista jhulaz raha hai,
koi mujhe do pal ki rawani dede…
Gagan chumbti yeh lapte,
bhasam kar dengi mujhe,
Dil main dafan hai kai raaz,
Koi is tanha dil to panha dede…
Dil ki aach mein to main,
pahele se hi jhulaz rahi hun,
kori sadi sukhi hai saanse
Koi mere zindagi ko ek kahani dede..
Gam uthaunga to kuch aur sanwar jaunga main,
Teri julf nahi ki khulkar bikhar jaunga main,
Jindagi hi to shamshire virhana kya,
Maut aayegi to ek phool se mar jaunga main,
Jindagi me kuch kadam sath chal kar to dekh,
Phool bankar teri rahoan me bikhar jaunga main.
hamare dil ke dard ko
hamare apne na samaj paye
to hame samjhe wo aaye
jise ham kabhi na samaj paye..
Na dalo mere muh pe kafan mujhe aadat hai muskurane ki,
Mat daffnao meri lash ko kyuni,
Mujhe ummed hai unke aana ki.

No comments:

Post a Comment

thank you