Blogger Widgets

Tuesday, November 27, 2012

Sad Love Shayari


Parvane Chale Aate Hain


Shama jalti hai to parvane chale aate hain ,
Hasino ko milne deewane chale aate hain ,
Tum to meri maut per bhi nahi aai ,
Is samay to begane tak bhi chale aate hain .

Sacha Pyar Na karna


Sacha pyar na karna kabhi kisi se
Sukh chain sab lut jayega
Beech pyar ke jab chot lage ge
Khuli hawa mein bhi dam ghut jay ga .

Jahan E Dil Shayari


Sabko dil ke jakhm dikhaye ek tujhi ko dikha na sake,
tera daman dur nahin tha hanth humin faila na sake.
ai mere maula kaise banaya ye chehra pari ka,
siney mein basa ke aankhon mein sama na sake.
na tujhse kuch mujhe garaz na tujhe kuch mujhse kam,
mujhe malum tha magar ye dil ko samjha na sake.
ab tujhe kis munh se kahein na ja chode ke mujhe,
ek thi diwar nahin fand paye aur nahin use gira sake.
jahan-e-dil ka ujda chaman kuch yun tha “raaj” ka,
umde badal garze badal magar do bund barsa na sake.

Sad Love Shayari



Kitne ghamon ke badal aaye kitni aansuen tal gayi,
dil tha ki fir behal gaya jan fir samhal gayi.
khayalon ke jahan mein tere husn ki shaman kya thi,
dard ka chand bujh gaya hizra ki raat dhal gayi.
jab bhi tujhe yaad kiya meri subah mehak uthi,
jab tere ghum ko jagaya to raat meri machal gayi.
har baat karni thi saf ye soch ke chale the hum,
kehne mein unke samne baat kuch badal gayi.
gr wo smjhe mere khayalat is ghazal se “raaj”,
ehsaas na hua subah kab huyi sham kab nikal gayi.

Kaantoan Par Chalna Sikh Liya


Phulo ki aas thi barasose
ab to kaantoan par hi chalana sikh liya
ji sake pyar ke liye mahino tarase
uske bagair rehena sikh liya
or jisake liye sari hade par karadi mohobbat ki
ab to usse nafrat karana bhi sikh liya……..

Har Baar Azmane ki Aadat


har baar azmane ki adat se majbur hain wo apni,
dard jawan kar, mukar jate hain,
puche koi unse, itne mushkil hain kya raste
jo wo do gali chod ke nikal jate hain.

No comments:

Post a Comment

thank you