Blogger Widgets
Showing posts with label SARABI. Show all posts
Showing posts with label SARABI. Show all posts

Friday, March 15, 2013

હશે મારી દશા કેવી તને સમજાય છે

હશે મારી દશા કેવી તને સમજાય છે સાકી,
હવે પીધા પછી પણ મારું દિલ ગભરાય છે સાકી;

સુરા પીતા જે મારાથી કંઈક  ઢોળાય છે સાકી,
મને એમાં હજારોની તરસ દેખાય સાકી ;

અસર આવી ન'તી જોઈ મેં વર્ષોની ઇબાદતમાં,
ફકત  બે જામમાં તરત જ જીવન  બદલાય છે સાકી; 

"મરીઝ" આવા નશામાં પણ ઉગાડી આંખ  રાખે છે,
ખબર કોને કે  એની આંખ ક્યાં મીચાય છે સાકી.

-----"મરીઝ"---
mariz sir

Sunday, February 3, 2013

Hawa mein dhoond rahi hai koi sada mujhko


Hawa mein dhoond rahi hai koi sada mujhko
Pukarta hai pahadon ka silsila mujhko
Main asman-o-zamin ki haden mila deta
koi sitara agar jhuk key choomta mujhko
Chipak gaye mire talwon se phool sheeshe ke
Zamana kheench raha tha barahna pa mujhko
Woh shah sawar bada rham dil tha mere liye
Badha key neza zamin se utha liya mujhko
Makaan, khet, sabhi aag ki lapet mein they
Sunehri ghaas mein usne chhupa diya mujhko
Dabeez hone lagi sabz kai ki chaadar
Na choom payegi ab sarphiri hawa mujhko
Pila ke raat ka ras raakchhas banati thi
Savere logon se kahti thi devta mujhko
Tu eik haath me in Ie aag eik mein pani
Tamam raat hawa mein jala bujha mujhko
Bas eik raat mein sar sabz ye zameen hui
Mire khuda ne kahan tak bichha diya mujhko

Phool sa khuch kalaam aur sahi


Phool sa khuch kalaam aur sahi
Ek ghazal uske naam aur sahi
Uski zulfen bahut ghaneri hein
Eik shab ka qayaalll aur sahi
Zindgi key udaas qissey me in
Eik ladki naam aur sahi
Kursiyon ko sunaiye ghazlen
Qatl ki ek shaam aur sahi
Kanp kapati hai raat seene mein
Zehr ka eik jaam aur sahi

Nikal aaye idhar janaab kahan


Nikal aaye idhar janaab kahan
Raat key waqt aftaab kahan
Meri aankhen kisi key ansu hein
Varna in pattharon mein aab kahan
Sab khile he in kisi key ariz par
Is baras baagh mein gulab kahan
Mere honton pe teri khushboo hai
Chhoo sakegi inhen sharaab kahan

Wohi taaj hai wohi takht hai wohi zahr hai wohi jaam hai


Wohi taaj hai wohi takht hai wohi zahr hai wohi jaam hai
Ye wohi khuda ki zameen hai ye wohi buton ka nizaam hai
Bade shauq se mira ghar jala koi aanch tujh pe na aayegi
Ye zaban kisi ne khareed Ii, ye qalam kisi ka ghulam hai
Yahan eik bachche key khoon sejo likha hua hai use paden
Tira keertan abhi paap hai abhi mera sajda haraam hai
Main ye manta hun mire diye tiri aandhiyon ne bujha diye
Magar eik jugnu hawaon mein abhi roshni ka imaam hai
Mire fikro fan tiri anjuman na urooj tha na zawaal hai
Mire lab pe tera hi naam tha mire lab pe tera hi naam hai

Monday, January 28, 2013

Maikada raat gham ka ghar nikla


Maikada raat gham ka ghar nikla
Dil haweli tale khandar nikla
Main use dhundta tha aankhon mein
Phool ban kar wo shaakh par nikla
Kis key saaye mein sar chhupaoge
Wo shajar dhoop ka shajar nikla
Us ka aanchal bhi koi baadal tha
Wo hawaaon ka hamsafar nikla
Koi kaghaz na tha lifafe mein
Sirf titli ka eik par nikla
Jab se jaana ke wo bahaadur hain
Dil se kuchh dushmanon ka dar nikla
Zindagi ik faqeer ki chadar
Jab dhake paon hamne sar nikla

Apni jagah jame hain kahne ko kah rahe they


Apni jagah jame hain kahne ko kah rahe they
Sab log warna bahte darya mein bah rahe they
Aisa laga ki ham turn kohre mein chal rahe hon
Do phool oonchi neechi lahron par bah rahe they
Dil ujle paak phoolon se bhar diya tha kisne
Us din hamaari aankhon se ashk bah rahe they
Aksar sharaab peekar padti thi wo duaen
Ham eik aisi ladki key saath rah rahe they
Akhbaar mein to koi aisi khabar nahin thi
Jhulse makaan jhute afsaane kah rahe they

Wednesday, November 7, 2012

Pee Chuke Hai Jaam Ek Terii Najar Se Ham


Maayus Laute Hain Tere Dar Se,
Khuda Thujhe Maayusiyon Se Door Rakhe,
Mili Hai Bewafai Wafa Ke Badle,
Huda Tujhe Bewafaon Se Door Rakhe.



Likhkar Naam Hateli Par Tera Hum Lakiren Badalna Chahte Hain,
Tumhein Humse Mohbat Nahin Magar Hum Taqdiren Badalna Chahte Hain



Pee Chuke Hai Jaam Ek Terii Najar Se Ham
Hath Mai Sajte Nahi Ab Pyale Sharaab Ke.

May Kii Kami Nahi Thi Sakii Ki Najar Mai
Halaat Hi Aise The Ki Ham Hi Naa Pee Sake.



Maikhana Hi Accha Hai Chashm-E-Yaar Se,
Haraam Hi Sahi, Phir Bhi Jaam To Aata Hai.
Sochte Hai Baddua Bhali Hai Uski Zubaan Se,
Zaalim Ki Hothon Pe Mera Naam To Aata Hai.



Tujhe To Meri Yaad Na Aai Mein Teri Yaad Mein Hi Jeeta Raha
Teri Aakhon K Pyale Se 2 Ghoot Peene Ko Saari Zindagi Jeeta Raha

Rona Bhi Kya Rona Hai
Kisi K Pyaar Mein Aankho Ko Bhigona Hai
Rone Se Nahi Aata Koi Kisi K Kareeb
Kyoki Ye Sach Hai Ki
Rone Se Nahi Badalta Kisi Ka Naseeb


Wo Jab Guzaree Huyee Aafsaane Lot Aaye
Sakiyaa Phir Hum Tere Mehkhaane Lot Aaye


Hosh Main Jo Raha Too Keh Naa Pawogaa
Dil Ko Bas Dil Haal Sunanee Lot Aaye


Jaam E Sharab Ek Ke Baad Phir Ek
Mehfil Main Aaj Diwaane Lot Aayee


Gum Ko Bhi Hai Bhulanaa,Tujee Yaad Kartee Kartee
Is Dil Ko Bas Hum Behlaanee Lot Aayeee


Ek Saathi Koi Aapnaa Jiskaa Saath Chutaaa
Hum Ruksaat Kaa Bas Jashaan Manaane Lot Aayee


Aaj Gir Jawoo To Saathiyaa Naa Mujko Uthnaa
Kyaa Pata Woo Iisi Bahaane Lot Aayee



Nasha Kardean Lok Tan Kai Vekhe,
Asin Kita Par Ik Akh Wala,
Sada Yaar Botal,Ohdi Rooh Daroo,
Sanu Ik Da Asra Lakh Vala,
Ki Rishta Jisam Te Rooh Wala,
Ki Rishta Paani Khoo Wala,
Ki Rishta Chan Sitarean Da,
Ki Rishta Panchian Sarean Da,
Kyo Koi Dil Vich Vasda Hai,
Sab Nasha Ishq Da Dasda Hai



Peg Aap Bna Ke De Kade Mainu
Roki Na Peene To
Sidhu Tan Marna Chaunda Hai Mainu
Nafrat Hogi Jeene To
Is Dunia Vich Bin Tere Asi Jeena Chaunde Nahi.




Jad Peen Tonh Nafrat Si Mainu,
Fad-Fad Ke Pilayee Lokaan Ne,
Hun Peen Di Aadat Ho Gayi Te,
Hun Ammi Rauli Payi Lokaan Ne



Gham Tum Laate Ho Zindagi Mein Humaare, Woh Zakhm Aane He Nahi Deti,


Gham Tum Laate Ho Zindagi Mein Humaare,
Woh Zakhm Aane He Nahi Deti,

Khushi Koh Toh Ek Pal Mein Bikher Dete Ho Tum Humaari,
Woh Toh Khushi Koh Jaane He Nahi Deti,

Hosh Mein Laa Laa Kar Tum Hosh Udaati Ho Humaare,
Woh Sharaab Toh Hosh Mein Aane He Nahi Deti.



Tum Ne To Pi Chhupake,
Hum Ne To Dikhake Pi,


Tumne To Pi Basi,
Hum Ne Tazi Banake Pi,


Tum Ne To Pi Hur Ki Lalach Me Aake.
Hum Ne To Sab Ko Pilake Pi,


Saki, Chhupake Pi Gaye, Hum Ne Dikhake Pi,
Pine Ka Jab Maza Tha, Nazre Milake Pi.




Nazraun Ki Shaukhiya Jab Chalthi Hai,
Kya Halat Hoti Hai Seene Ke,
Karlo Nasha - E - Mahobbat Jaaneman,
Kya Zaroorat Hai Sharab Pene Ki.



Sharaab Se Taluk Nahi Tha Mera,
Par Teri Yaadon Ne Usse Rishta Banadiya Hain.
Darta Hoon Ki Isse Bhi Rishta Toot Na Jaye,
Isiliye Mekhane Ko Apna Banaliya Hain…



Mujhe Na Aati Thi Mohabbat Karni,
Lekin Usne Aashiq Bana Diya,
Mujhe Na Aati Thi Shayri Karni,
Uski Bewafai Ne Shayar Bana Diya,
Yun To Hum Peete Na The Sharab Bhi,
Uski Aankhon Ne Sharabi Bana Diya.



Asaman Roya Toh Barsat Baras Padi..
Dard Roya Toh Ankhon Se Boonde Nikal Padi..
Kisi Diljale Ka Dard Kabhi Ro Pada Toh..
Maikade Se Sharab Nikal Padi……




Jo Kiya Inkaar Kabhi Kisi Ne Pilane Se Hume,
To Ashqon Se Ek Jaam Banaa Ke Piyaa.


Kisi Ne Di Thi Kasam Hume V Na Peene Ki,
Aaj Us Dilbar Ko Saamne Bithaa Ke Piyaa.


Main Pee Ke, To Saaqi Bhi Pila Ke Royaa,
Unki Tasveer Ko Hi Dil Se Lagaa Ke Piyaa.


Ro Diye Jab Sab, Humari Haalat Ko Dekh,
To Apne Haal Pe Hi Taras Khaa Ke Piyaa.


Maikade Ne De Diya Naam Hume “Ghayal”,
Jo Har Zakhm Pe Uska Naam Likhaa Ke Piyaa.




Zindagi Maikade Main Guzarti Rahein Maiy Pilane mein Yaaro Tirakhti Rahein…



Zindagi Maikade Main Guzarti Rahein
Maiy Pilane mein Yaaro Tirakhti Rahein…


La Pila Sakhiya Tujhko Meri Kasam
Daur Per Daur Ho Raat Dalti Rahein…


Tak Rahein Hai Khade Ranjho-Gam-O-Sitam
Maikashi Ab Shabo-Roj Chalti Rahein…


Kya Pilayee Mujhe Shukhriya Sakhiya
Umr Teri Panaho Main Palti Rahein…


Yu Hii Mujh Per Rahe Saakhi Teri Kasam
Rang Ruth Chahe Badale, Badalti Rahein…


Jaam Yu Hii Bhara Ho Hameshaa Mera
Her Gadi Yu Hii Sajthi Sawarti Rahein…


Chodna Maidada Ab Tho Mumkin Nahi
Chahe Dunia Jhale Ya Sulagti Rahein…


Mai Karu Tark-Mai Mere Bas Main Kaho
Tauba Karti Hai Dunia Tho Karthi Rahein…


Diljalon Ke Liye Maikada Khuldh Hai
Ye Pavitra Jagah Yu Hii Khilthi Rahein…


Aadmiiyath Mili Makhade Main Mujhe
Maiy-Parathon Ke Sang Ab Gujarthi Rahein…


Sakhiya Ye “Parishaa” Bhi Hai Diljala
Esko Jamoo-Mina Yu Hi Milthi Rahein


Maar Gaye Phir Bhi Talluk Hai Maikhane Se Mere Hisse Ki Chalak Jaati Hai Paimane Se…


Tum Kya Jaano Ki Ye Sharaab Hai,

Kitni Aachi Hai Aur… Kitni Kharaaab Hai.
Jab Ye Seene Se Lagati Hai Unke Gum Bhulati Hai.
Jub Ye Bewafaa Ho Jaati Hai Maut Aa Jaati Hai



Hathon Mein Khali Gilas Liye Baitha Hun,

Log Kehte Hain Piye Baitha Hun,

Ho Gaya Hun Zinda Lash Tere Jane Ke Baad,
Dard Sine Main Lekar Hothon Ko Siye Baitha Hun


Mujhe Maikhane Tak Lane Wale Tera Shukriya,

Mere Hathon Mein Jaam Thamane Wale Tera Shukriya,
Mujhe Bewafa Ka Ilzaam Dene Wale Tera Shukriya,
Dard Duniya Ka Tamam Dene Wale Tera Shukriya,
Mujhe Aashiq Se Shayer Ka Naam Dene Wale Tera Shukriya

Ek Ghooth Tujhe Piyun Or Ek Ghooth Sharaab Ka,

Or Mujhpe Raat Bhar Nasha Chadhta Rahe Shabaab Ka,

Barasti Rahe Tu Bhi Mujhper,Barasti Rahe Sharaab Bhi,

Kuch Iss Tarah Se Raaton Me Manzar Ho Mere Khwaab Ka,

Ik Jaam Mujhko Le Jaaye Jannaton Ki Sair Per,

Tere Labhon Ko Main Choomun To Ehsaas Ho Gulaab Ka,

Meri Zindgi Ki Kitaab Me Nasha He Nasha Dastyaab Hai,

Or Tera Naam Aakhiri Lafz Hai Meri Kitaab Ka

Shamma Ke Naam Se Niqli Hai Perwano Ki Baat

Aaj Tere Husn Se Niqli Hai Maykhaano Ki Baat

Tujhko Bataata Reh Gaya,Haal-E-Dil Main Raat Bhar

Tu Sunaata Reh Gaya Mujhe Apne Divaano Ki Baat

Aaj Chadhne De Sanam Mujhper Muhobbat Ka Suroor

Teri Aankhon Se Nikal Aayegi Paimano Ki Baat

Daal Tu Mujhper Nazar Or Baith Mere Saamne

Chund Lamhon Me Niqal Aayegi Armaano Ki Baat

Meri Chaahat He Ki Khaatir Tu Mujhe Chaahta Raha

Seena Zakhmi Ker Gayi Hai Tere Ehsaano Ki Baat

Jaam Haathon Me Hai To Her Gum Youn Hi Mit Jayega

Dard Dil Me Ho Augar Tum Kerna Viraano Ki Baat

Jaanvar Se Bhi Kayi Aage Nikal Aaye Hain Log

Na He Kar To Theek Hai Khuda Apne Insaano Ki Baat

Ishq Ke Janjaal Se Khud Ko Bachaata Hai Karan

Saahil Pe Tanha Baith Ker Kerta Hai Toofano Ki Baat


Mai Shayar Houn Per Sharabi Nahi,

Koi Sharaab Aise Mile Ke Tujhe Bhool Jaun To Pee Jaunga,

Iss Tarah Jaise Ke Ashk Peeta Houn  Per Ye Ashk Nasha Nahi Kerte,

Her Ashk Hai Qatra Muhobbat Ka Mujhko,

Teri Yaad Maikhana Hai,

Or Mujhe Bas Peete Jaana Hai

Mujhko Maikhaana Pila De Saaqi

Mujhko Dardon Ka Sila De Saaqi
Apni Julfon Ki Chaav De Ke Mujhe
Apni Bhaahon Me Sula De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Dard Bardasht Se Bhi Bahar Hai

Aaj Kaise Bhi Rulaa De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

La Gira Or Sharaab Dil Pe Mere

Aag Seene Ki Bujha De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Gir Ke Utth Jaaun Jo Tere Dar Se

Tu Mujhe Phir Se Gira De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Qatra Qatra Hai Mere Gum Ko Sukun

Mujhko Tu Or Dawaa De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Raat Ke Chalte Ab Sahar Na Ho

Jaadu Kuch Aisa Chala De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Fikr Meri Hai To Phir Mere Liye

Mujhko Marrne Ki Duaa De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi

Karan Kehta Hai Dosti Ke Liye

Jaam Me Zahar Mila De Saaqi
Mujhko Maikhana Pila De Saaqi



Chaare seh dekho ghode intekhaab hain,

damdi nahi bachi magar bhi nawaab hain,


ek saans mein chal rahe hain door seh,

thoda paani pilaa doh toh sawaab hain,


log sharaabiyo koh pakad te hain humne dekha,

inka kya kasoor jab taameer-e-sharab azaad hain.



Doodh Mein Urea,

Mineral Water Mein Caustic Soda,
Cola Mein Pesticide,
Cadbury Mein Keede,
Paani Bhi Kharaab,
Safe Bachi Hain To Sirf Sharaab
Piyo Sar Utha Ke



Sharab Peekar Hi Khush Ho Leta Hun

Har Jaam Se Zakhm Bhar Leta Hun
Aik Bewafa Ka Nasha Toh Muje Har Pal Rehta Hai
Is Sharab Se Thoda Hosh Sambhal Leta Hun
Kaho Saqi Se Muje Aur Peene De
“Yaroo Thoda Apne Liye Bhi Jee Leta Hun”



Tumko To Pine Ka Bahana Chahiye

Kabhi Khusi To Kabhi Gam Ka, Bahana Chahiye
Kam Padgai To Chillana Chahiye
Jaise Pyasa Ho Aur Pyas Bujhna Chahiye
Ye Koun Si Pyas Aur Kaisi Pyas
Najar Ke Samne Bas Har Botal,Bhara Dikhna Chahiye..
Khusi Ho Ya Gam Bas Tume To
Pine Ka Koi Bahana Chahiye


  

Zahid Sarab Pine De Masjid Me Bethkar
Ya Vo Jaga Batade Jaha Par Khuda Na Ho.
Tu Mat Sarab Pi Masjid Me Beth Kar,
Ek Hi Botal He, Kahi Khuda Na Mang Le.

Aadtan Main Pee Leta Hoon, Iradtan Main Pee Leta Hoon,
Ruthhe Gar Khushiaan Mujhse, Ziadtan Main Pee Leta Hoon.

Jab Tak Na Mile Koi Saaki, Bin Saaki Hi Pee Leta Hoon,
Paimane Sab Jab Hon Khali,Ashqon Se Bhar Pee Leta Hoon.

Maikhane Se Aati Sada, Sun Ke Sada Pee Leta Hoon,
Sabki Akhiyon Ko Chhal Ker, Chupke Se Main Pee Leta Hoon.

Jab Raat Ho Kat-Ti Aankhon Main,Toh Gham Me Main Pee Leta Hoon,
Chhaye Ghata Zulfon Ki Kabhie, Toh Be-Mousam Main Pee Leta Hoon.

Nafrat Jo Kare Koi Mujhse, Nafrat Ko Hi Pee Leta Hoon,
Maikhane Main Jab Aa Hi Gaye,Toh Zeher Mile Pee Leta Hoon.



Abhi Pyar Ke Geet Gane Bahut Hai !!
Abhi Meeth Roote Manane Bahut Hai..


Abhi Maut Teri Zarurat Nahi Hai,
Abhi Kaam Bigade Banane Bahut Hai..


Abhi Pass Mere Rahe Jaam Sakhi
Abhi Jaam Mein Gam Dubane Bahut Hai.


Barenge Na Baathon Se Ye Ghav Mere
Abhi Ke Nahi Ye Purane Bahut Hai..


Abhi Raat Aur Hai Bakhi “Malli”
Abhi Jam Peene-Pilane Bahut Hai..



Aisi Roshni Hoon, Jise Suraj Ne Kabhi Apna Nahin Samjha,
Aisi Khusbu Hoon, Jise Phoolon Ne Apna Na Samjha
Aisi Dhadkan Hoon, Jise Dil Ne Kabhi Apna Na Samjha,
Khushnaseeb, Is Sharabi Ko Mehkhane Ne Apna Samjha




Haseenaao Seh Poocho Ki Aashiqo Koh Sataate Kyun Hain……..
Zamaane Seh Poocho Ki Aashiqo Koh Rulaate Kyun Hain………..
Hawaao Seh Poocho Ki Hume Unse Door Hataate Kyun Hain……
Ghataao Seh Poocho Ki Hum Woh Aise Sulaate Kyun Hain……….
Chand Seh Poocho Ki Raat Mein Andhere Mitaate Kyun Hain…….
Peena Kaun Kambakht Chaahata Hain Is Zamaane Mein…………
Saaare Aalam Seh Poocho Ki Maikhaane Banaate Kyun Hain……

Saturday, November 3, 2012



Kabhi yaroo ki mehfil me bait ke

kabhi yaroo ki mehfil me bait ke hum bhi piya karte the
Kabh yaroo ke yaar ban ke hum bi jiya karte the
Zindagi ne ki bewafi ,warna
hum bhi zingadi se pyar kiya karte the

Nazar saaki par hain aur lab paimaane

Nazar saaki par hain, aur lab paimaane par
Dil hamara hai aaj fir, kisi kay nishaane par
Woh khaali pyala liye letein hain, kabar main apni
Kehte hain jannat milaegi, sharab kay aane par.

Hum sharabi nahe hai log huma kehte

Hum sharabi nahe hai log huma sharabi kehte hain
hosh toh huma rehta nahe hai
madhosh hojata hai
tere mehak ki vo kashish hume kyu satati hai
hota nahe hai hosh jab mil jaye nazar unse
bus ek nasha sa cha jata hai
radhae

Maikhane saje thyjam ka tha daur jam

Maikhane saje thy,Jam ka tha daur,
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur,
Jam me gum tha mere armano ka,
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur

Mat karo meri batoon pe yakin

Mat karo meri batoon pe yakin , maine nashe mai hu,
Woh thi hamare kareeb , mai nashe mai haun

Jamm pi kar apne gam ko kaha

Jamm pi kar apne gam ko kaha kam kia hamne,
Har waqt teri yaadon main in aankhon ko namm kia hamne.
Chaha tha tujhe bhulna par yaad hi kia hamne.
Aur jindagi ke baad bhi kabarr se haath nikaal kar tera hi intezar kia hamne

Teri yaad ne hame jeene na diya

Teri yaad ne hame jeene na diya,
Chain se humko ab marne na diya,
Hum peete hai teri yaad me zalim,
Par iss duniya ne hame peene na diya

Bichdee huae yaar hain millee par unkii

Bichdee huae yaar hain millee par unkii yaade nahi bichdii
Gamm unke diye hain par unki chaah nahi bichdii
Saaki bottal khol de aaj saari tere maikhaane kii
Deekhen aaj pehmaano main rehta hai gamm ya hamare dil mai

Sham thi wo kaatiljo uski yaaden le

Sham thi wo kaatil,jo uski yaaden le aai ,
Thy ham tanha, hame mahkhane le aaye,
Saaki ne toa aur bhi julam dhaya ham par,
Ke chalak gaya paimana, aisi aankhiyon se pilayi …
thank you